SEARCH RESULTS
Showing search results for "गोशवारा"
Sher MATCHES FOR "गोशवारा"
Sher
umiide.n baa.ndh rakkhii hai.n tire lutf-o-karam se
siyah-a.amaal huu.n to goshvaara kaun dekhe
Iftikhar Haidar
Sher
bad-qismatii ko ye bhii gavaaraa na ho sakaa
ham jis pe mar miTe vo hamaaraa na ho sakaa
Shakeb Jalali
Sher
ek hii shahr me.n rahnaa hai magar milnaa nahii.n
dekhte hai.n ye aziyyat bhii gavaara kar ke
Aitbar Sajid
Sher
Ehsan Danish
Sher
jannat milii jhuuTo.n ko agar jhuuT ke badle
sachcho.n ko sazaa me.n hai jahannam bhii gavaaraa
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
zindagii kitnii masarrat se guzartii yaa rab
aish kii tarah agar Gam bhii gavaaraa hotaa
Akhtar Shirani
Sher
bad-tar hai maut se bhii Gulaamii kii zindagii
mar jaa.iyo magar ye gavaaraa na kiijiyo
Hafeez Merathi
Sher
Iftikhar Arif
Sher
Irfan Sattar
Sher
KHud pe ye zulm gavaaraa nahii.n hogaa ham se
ham to sho.alo.n se na guzre.nge na siitaa samjhe.n
Bilqis Zafirul Hasan
Sher
Qamar Jalalvi
Sher
saarii rusvaa.ii zamaane kii gavaaraa kar ke
zindagii jiite hai.n kuchh log KHasaara kar ke
Hashim Raza Jalalpuri
Sher
adam se dahr me.n aanaa kise gavaaraa thaa
kashaa.n kashaa.n mujhe laa.ii hai aarzuu terii
Haidar Ali Aatish
Sher
is se pahle ki ye aazaar gavaara kar le.n
aa mirii jaan mohabbat se kinaara kar le.n
Vipul Kumar
Sher
KHvaab me.n bhii to nazar bhar ke na dekhaa un ko
ye bhii aadaab-e-mohabbat ko gavaaraa na hu.aa
Riyaz Khairabadi
Sher
ye bhii aadaab-e-mohabbat ne gavaaraa na kiyaa
un kii tasviir bhii aa.nkho.n se lagaa.ii na ga.ii