SEARCH RESULTS
Showing search results for "जनाज़े"
Sher MATCHES FOR "जनाज़े"
Sher
jo raat din mire marne kii kar rahe the du.aa
vo ro rahe hai.n janaaze me.n hichkiyaa.n le kar
Unknown
Sher
mire KHudaa mujhe tho.Dii sii zindagii de de
udaas mere janaaze se jaa rahaa hai ko.ii
Qamar Jalalabadi
Sher
ruuh ghabraa.ii hu.ii phirtii hai merii laash par
kyaa janaaze par mere KHat kaa javaab aane ko hai
Fani Badayuni
Sher
kaun saa dard utar aayaa hai tahriiro.n me.n
saare alfaaz janaaze kii tarah lagte hai.n
Ahtamam Sadiq
Sher
janaaze vaalo na chupke qadam ba.Dhaa.e chalo
usii kaa kuuche hai Tuk karte haa.e haa.e chalo
Hira Nand Soz
Sher
jis tarah aap ne biimaar se ruKHsat lii hai
saaf lagtaa hai janaaze me.n nahii.n aa.e.nge
Khalid Nadeem Shaani
Sher
vaqt kii laash pe rone ko jigar hai kis kaa
kis janaaze ko liye ahl-e-nazar aate hai.n
Hanif Fauq
Sher
chal saath ki hasrat dil-e-marhuum se nikle
aashiq kaa janaaza hai zaraa dhuum se nikle
Fidvi Lahori
Sher
kursii hai tumhaaraa ye janaaza to nahii.n hai
kuchh kar nahii.n sakte to utar kyo.n nahii.n jaate
Irtiza Nishat
Sher
Mirza Ghalib
Sher
sub.h le jaate hai.n ham apnaa janaaza ghar se
shaam ko phir use kaa.ndho.n pe uThaa laate hai.n
Kafeel Aazar Amrohvi
Sher
Kaif Bhopali
Sher
sach hai is ek parde me.n chhupte hai.n laakh aib
ya.anii janaab-e-shaiKH kii daa.Dhii daraaz hai
Hafeez Jaunpuri
Sher
janaaza rok kar meraa vo is andaaz se bole
galii ham ne kahii thii tum to duniyaa chho.De jaate ho
Safi Lakhnavi
Sher
shab ko miraa janaaza jaa.egaa yuu.n nikal kar
rah jaa.e.nge sahar ko dushman bhii haath mal kar