SEARCH RESULTS
Showing search results for "ज़ंजीर"
Sher MATCHES FOR "ज़ंजीर"
Sher
dekh zindaa.n se pare ra.ng-e-chaman josh-e-bahaar
raqs karnaa hai to phir paa.nv kii zanjiir na dekh
Majrooh Sultanpuri
Sher
Sahir Ludhianvi
Sher
ko.ii paaband-e-mohabbat hii bataa saktaa hai
ek diivaane kaa zanjiir se rishta kyaa hai
Fana Nizami Kanpuri
Sher
dostii KHvaab hai aur KHvaab kii ta.abiir bhii hai
rishta-e-ishq bhii hai yaad kii zanjiir bhii hai
Unknown
Sher
mere siine se zaraa kaan lagaa kar dekho
saa.ns chaltii hai ki zanjiir-zanii hotii hai
Abbas Tabish
Sher
yaado.n kii rail aur kahii.n jaa rahii thii phir
zanjiir khii.nch kar hii utarnaa pa.Daa mujhe
Zehra Shah
Sher
sham-e-KHema ko.ii zanjiir nahii.n ham-safaraa.n
jis ko jaanaa hai chalaa jaa.e ijaazat kaisii
Irfan Siddiqi
Sher
us ne aavaara-mizaajii ko nayaa mo.D diyaa
paa-ba-zanjiir kiyaa aur mujhe chho.D diyaa
Javed Saba
Sher
Tauseef Tabassum
Sher
paa-ba-gil sab hai.n rihaa.ii kii kare tadbiir kaun
dast-basta shahr me.n khole mirii zanjiir kaun
Parveen Shakir
Sher
buland haatho.n me.n zanjiir Daal dete hai.n
ajiib rasm chalii hai du.aa na maa.nge ko.ii
Iftikhar Arif
Sher
zindagii jabr hai aur jabr ke aasaar nahii.n
haa.e is qaid ko zanjiir bhii darkaar nahii.n
Fani Badayuni
Sher
ham us kii zulf kii zanjiir me.n hu.e hai.n asiir
sajan ke sar kii balaa aa pa.Dii hamaare gale
Wali Uzlat
Sher
Zafar Iqbal
Sher
Ahmad Faraz
Sher
ham ko shaaho.n kii adaalat se tavaqqo to nahii.n
aap kahte hai.n to zanjiir hilaa dete hai.n