SEARCH RESULTS
Showing search results for "ज़ात"
Sher MATCHES FOR "ज़ात"
Sher
Ahmad Kamal Parwazi
Sher
kyuu.n khul ga.e logo.n pe mirii zaat ke asraar
ai kaash ki hotii mirii gahraa.ii zaraa aur
Aanis Moin
Sher
tamaam paikar-e-badsuurtii hai mard kii zaat
mujhe yaqii.n hai KHudaa mard ho nahii.n saktaa
Farhat Ehsas
Sher
mai.n aadmii huu.n ko.ii farishta nahii.n huzuur
mai.n aaj apnii zaat se ghabraa ke pii gayaa
Saghar Siddiqui
Sher
ko.ii zamiin hai to ko.ii aasmaan hai
har shaKHs apnii zaat me.n ik daastaan hai
Karamat Ali Karamat
Sher
ufuq ke aaKHirii manzar me.n jagmagaa.uu.n mai.n
hisaar-e-zaat se nikluu.n to KHud ko paa.uu.n mai.n
Kabir Ajmal
Sher
Shahryar
Sher
zindagii kahte hai.n jis ko chaar din kii baat hai
bas hamesha rahne vaalii ik KHudaa kii zaat hai
Unknown
Sher
apnii hii zaat ke mahbas me.n samaane se uThaa
dard ehsaas kaa siine me.n dabaane se uThaa
Obaidur Rahman
Sher
Malikzaada Manzoor Ahmad
Sher
is qadar KHaalii hu.aa baiThaa huu.n apnii zaat me.n
ko.ii jho.nkaa aa.egaa jaane kidhar le jaa.egaa
Rajinder Manchanda Bani
Sher
bahut qadiim nahii.n kal kaa vaaqi.a hai ye
mai.n is zamiin pe utraa thaa terii zaat ke saath
Faizan Hashmi
Sher
Qateel Shifai
Sher
shariik-e-dard nahii.n jab ko.ii to ai 'shaukat'
KHud apnii zaat kii bechaargii Ganiimat hai