SEARCH RESULTS
Showing search results for "तकलीफ़-ए-तजल्ली"
Sher MATCHES FOR "तकलीफ़-ए-तजल्ली"
Sher
Gam-e-firaaq me.n takliif-e-sair-e-baaG na do
mujhe dimaaG nahii.n KHanda-haa-e-bejaa kaa
Mirza Ghalib
Sher
jalva ho to jalva ho parda ho to parda ho
tauhiin-e-tajallii hai chilman se na jhaa.nkaa kar
Fana Nizami Kanpuri
Sher
har zarra us kii chashm me.n labrez-e-nuur hai
dekhaa hai jis ne husn-e-tajalli bahaar kaa
Wali Dakni
Sher
girnii thii ham pe barq-e-tajallii na tuur par
dete hai.n baada zarf-e-qadah-KHvaar dekh kar
Mirza Ghalib
Sher
Unwan Chishti
Sher
qatra apnaa bhii haqiiqat me.n hai dariyaa lekin
ham ko taqliid-e-tunuk-zarfi-e-mansuur nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
ruuh detii rahii tarGiib-e-ta.allii barso.n
ham magar terii galii chho.D ke uupar na ga.e
Muztar Khairabadi
Sher
mere Gubaar kii ye ta.allii to dekhiye
itnaa ba.Dhaa ki arsh-e-mu.allaa se mil gayaa
Muztar Khairabadi
Sher
riste hu.e zaKHmo.n kaa ho kuchh aur mudaavaa
ye harf-e-tasallii ko.ii marham to nahii.n hai
Moin Ahsan Jazbi
Sher
us ke alfaaz-e-tasallii ne rulaayaa mujh ko
kuchh ziyaada hii dhu.aa.n aag bujhaane se uThaa
Zaheer Siddiqui
Sher
ashk aa.nkho.n se mirii nikle musalsal lekin
us ne ik harf-e-tasallii na nikaalaa lab se
Sada Ambalvi
Sher
kartaa hai lahuu dil ko har ik harf-e-tasallii
kahne ko to yuu.n qurbat-e-Gam-KHvaar bahut hai
Irfana Azeez
Sher
ab kii jo raah-e-mohabbat me.n uThaa.ii takliif
saKHt hotii hame.n manzil kabhii aisii to na thii
Bahadur Shah Zafar
Sher
takliif na de ham ko to gul-gasht-e-chaman kii
KHud siina tire daaGo.n se gulshan hai hamaaraa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Abbas Ali Khan Bekhud
Sher
hakiim o aarif o suufii tamaam mast-e-zahuur
kise KHabar ki tajallii hai ain-e-mastuurii
Allama Iqbal
Sher
yuu.n tasallii de rahe hai.n ham dil-e-biimaar ko
jis tarah thaame ko.ii girtii hu.ii diivaar ko
Qateel Shifai
Sher
ye kis liye ai zamaane tirii kare taqliid
'shajar' kaa rizq-e-suKHan karbalaa se aataa hai