SEARCH RESULTS
Showing search results for "तख़्लीक़"
Sher MATCHES FOR "तख़्लीक़"
Sher
Bharat Bhushan Pant
Sher
is daur kii taKHliiq bhii kyaa shiishagarii hai
har aa.iine me.n aadmii ulTaa nazar aa.e
Wamiq Jaunpuri
Sher
taKHliiq-e-kaa.enaat ke dilchasp jurm par
ha.nstaa to hogaa aap bhii yazdaa.n kabhii kabhii
Abdul Hamid Adam
Sher
Sikandar Ali Wajd
Sher
ko.ii taKHliiq ho KHuun-e-jigar se janm letii hai
kahaanii likh nahii.n sakte kahaanii maa.ngne vaale
Manzar Bhopali
Sher
bhuuk taKHliiq kaa talent ba.Dhaa detii hai
peT KHaalii ho to ham sher nayaa kahte hai.n
Khalid Irfan
Sher
bachcho.n kaa saa mizaaj hai taKHliiq-kaar kaa
apne sivaa kisii ko ba.Daa maantaa nahii.n
Matin Niazi
Sher
bachaa ke laa.e.n kisii bhii yatiim bachche ko
aur us ke haath se taKHliiq-e-kaa.inaat kare.n
Farhat Ehsas
Sher
Abhishek Shukla
Sher
Jagat Mohan Lal Ravan
Sher
taKHliiq a.ndhero.n se kiye ham ne ujaale
har shab ko ik aivaan-e-sahar ham ne banaayaa
Saghar Nizami
Sher
kuuza-gar ne jab merii miTii se kii taKHliiq-e-nau
ho ga.e KHud jazb mujh me.n aag aur paanii havaa
Aleena Itrat
Sher
ek lamhe me.n zamaana hu.aa taKHliiq 'malaal'
vahii lamha hai yahaa.n aur zamaana hai vahii
Sagheer Malal
Sher
zehn is KHauf se hone lage banjar ki yahaa.n
achchhii taKHliiq par kaT jaate hai.n me.amaar ke haath
Jawaz Jafri
Sher
taKHliiq ke parde me.n sitam TuuT rahe hai.n
aazar hii ke haatho.n se sanam TuuT rahe hai.n
Kausar Jayasi
Sher
zer-e-paa ab na zamii.n hai na falak hai sar par
sail-e-taKHliiq bhii girdaab kaa manzar niklaa
Waheed Akhtar
Sher
phir ahl-e-ishq kii taKHliiq hotii hai pahle
junuu.n kii aag me.n barso.n KHamiir rahtaa hai
Anis Abr
Sher
Zafar Ajmi
Sher
kyaa sochtaa hai KHud vo kisii maa.n kii maut par
taKHliiq karne vaale se meraa savaal hai
Mahmood Ahmad Hashmi
Sher
taKHliiq KHud kiyaa thaa kal apne me.n ek ghar
ab ghar se KHalq chand makii.n kar rahe hai.n ham