SEARCH RESULTS
Showing search results for "ताबीर"
Sher MATCHES FOR "ताबीर"
Sher
mai.n ne dekhaa hai bahaaro.n me.n chaman ko jalte
hai ko.ii KHvaab kii taabiir bataane vaalaa
Ahmad Faraz
Sher
dostii KHvaab hai aur KHvaab kii ta.abiir bhii hai
rishta-e-ishq bhii hai yaad kii zanjiir bhii hai
Unknown
Sher
kyaa hasii.n KHvaab mohabbat ne dikhaayaa thaa hame.n
khul ga.ii aa.nkh to taabiir pe ronaa aayaa
Shakeel Badayuni
Sher
umr bhar rahnaa hai ta.abiir se gar duur tumhe.n
phir mire KHvaab me.n aane kii zaruurat kyaa hai
Nadeem Gullani
Sher
aisaa bhii kabhii ho mai.n jise KHvaab me.n dekhuu.n
jaaguu.n to vahii KHvaab kii ta.abiir bataa.e
Mustafa Shahab
Sher
Ahmad Faraz
Sher
Saleem Kausar
Sher
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
zindagii KHvaab hai aur KHvaab bhii aisaa ki miyaa.n
sochte rahiye ki is KHvaab kii ta.abiir hai kyaa
Ahmad Ata
Sher
aadmii honaa KHudaa hone se behtar kaam hai
KHud hii KHud ke KHvaab kii ta.abiir ban kar dekh le
Kumar Vishwas
Sher
ik tirii baat ki jis baat kii tardiid muhaal
ik miraa KHvaab ki jis KHvaab kii ta.abiir nahii.n
Mubarak Azimabadi
Sher
KHalid Malik Sahil
Sher
ai KHvaab-e-paziiraa.ii tuu kyuu.n mirii aa.nkho.n me.n
andesha-e-duniyaa kii ta.abiir uThaa laayaa
Azm Bahzad
Sher
KHvaahishe.n KHvaab dikhaatii hai.n tire milne kaa
KHvaab se kah de ki ta.abiir kii suurat aa.e
Aleena Itrat
Sher
Shahryar
Sher
hijr ik vaqfa-e-bedaar hai do nii.ndo.n me.n
vasl ik KHvaab hai jis kii ko.ii ta.abiir nahii.n
Ahmad Mushtaq
Sher
shaam ko sub.h se ta.abiir karo tum lekin
aa.nkh vaale to sahar hii ko sahar jaante hai.n
Shaiq Muzaffarpuri
Sher
patthar na banaa de mujhe mausam kii ye saKHtii
mar jaa.e.n mire KHvaab na ta.abiir ke Dar se
Pinhaan
Sher
Zaheer Dehlvi
Sher
ajiib KHvaab thaa ta.abiir kyaa hu.ii us kii
ki ek dariyaa havaa.o.n ke ruKH pe bahtaa thaa