SEARCH RESULTS
Showing search results for "तितली"
Sher MATCHES FOR "तितली"
Sher
kaa.nTo.n me.n ghire phuul ko chuum aa.egii lekin
titlii ke paro.n ko kabhii chhilte nahii.n dekhaa
Parveen Shakir
Sher
ko.ii titlii nishaane par nahii.n hai
mai.n bas ra.ngo.n kaa piichhaa kar rahaa huu.n
Zubair Ali Tabish
Sher
gul se lipTii hu.ii titlii ko giraa kar dekho
aa.ndhiyo tum ne daraKHto.n ko giraayaa hogaa
Kaif Bhopali
Sher
mohabbat ek dam dukh kaa mudaavaa kar nahii.n detii
ye titlii baiThtii hai zaKHm par aahista aahista
Abbas Tabish
Sher
baaG me.n jaane ke aadaab hu.aa karte hai.n
kisii titlii ko na phuulo.n se u.Daayaa jaa.e
Nida Fazli
Sher
ab vo titlii hai na vo umr ta.aaqub vaalii
mai.n na kahtaa thaa bahut duur na jaanaa mire dost
Faisal Ajmi
Sher
ye shabnamii lahja hai aahista Gazal pa.Dhnaa
titlii kii kahaanii hai phuulo.n kii zabaanii hai
Bashir Badr
Sher
kal terii tasviir mukammal kii mai.n ne
fauran us par titlii aa kar baiTh ga.ii
Irshad Khan Sikandar
Sher
gulshan se ko.ii phuul mayassar na jab hu.aa
titlii ne raakhii baa.ndh dii kaa.nTe kii nok par
Unknown
Sher
phuulo.n kii zad me.n aa ke kahii.n jaan se na jaa.e
mai.n ne isii KHayaal se titlii u.Daa.ii hai
Neel Ahmed
Sher
ujaa.D taptii hu.ii raah me.n bhaTakne lagii
na jaane phuul ne kyaa kah diyaa thaa titlii se
Nusrat Gwaliari
Sher
nafrat se hai nafrat ham ko priit hamaarii riit
pyaar ke hai.n anmol KHazaane titlii phuul aur mai.n
Aslam Faizi
Sher
vo ek lamha jo titlii saa apne biich me.n hai
use mai.n le ke chalii maah-o-saal se aage