SEARCH RESULTS
Showing search results for "तूफ़ान"
Sher MATCHES FOR "तूफ़ान"
Sher
vaise to ik aa.nsuu hii bahaa kar mujhe le jaa.e
aise ko.ii tuufaan hilaa bhii nahii.n saktaa
Waseem Barelvi
Sher
saahil ke sukuu.n se kise inkaar hai lekin
tuufaan se la.Dne me.n mazaa aur hii kuchh hai
Aale Ahmad Suroor
Sher
ba.Dh ke tuufaan ko aaGosh me.n le le apnii
Duubne vaale tire haath se saahil to gayaa
Abdul Hamid Adam
Sher
Shahryar
Sher
uff vo tuufaan-e-shabaab aah vo siina teraa
jise har saa.ns me.n dab dab ke ubhartaa dekhaa
Andaleeb Shadani
Sher
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
aasaa.n nahii.n dariyaa-e-mohabbat se guzarnaa
yaa.n nuuh kii kashtii ko bhii tuufaan kaa Dar hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Divakar Rahi
Sher
ek dil hai aur tuufaan-e-havaadis ai 'jigar'
ek shiisha hai ki har patthar se Takraataa huu.n mai.n
Jigar Moradabadi
Sher
aziiz mujh ko hai.n tuufaan saahilo.n se sivaa
isii liye hai KHafaa meraa naaKHudaa mujh se
Farhat Shahzad
Sher
Shahzad Ahmad
Sher
ahl-e-biinash ko hai tuufaan-e-havaadis maktab
lutma-e-mauj kam az saili-e-ustaad nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
ajiib baat hai us raat kii sahar na hu.ii
ka.ii charaag jale raushnii magar na hu.ii
Rakesh Toofan
Sher
aane vaale kisii tuufaan kaa ronaa ro kar
naa-KHudaa ne mujhe saahil pe Dubonaa chaahaa
Hafeez Jalandhari
Sher
tuufaan kii zad me.n the KHayaalo.n ke safiine
mai.n ulTaa samundar kii taraf bhaag rahaa thaa
Aftab Shamsi
Sher
Ummeed Fazli
Sher
tuufaan-e-Gam kii tund havaa.o.n ke baavajuud
ik sham-e-aarzuu hai jo ab tak bujhii nahii.n