SEARCH RESULTS
Showing search results for "दर-ओ-दीवार"
Sher MATCHES FOR "दर-ओ-दीवार"
Sher
zindagii bhar dar-o-diivaar sajaa.e jaa.e.n
tab kahii.n jaa ke makiino.n pe makaa.n khulte hai.n
Hasan Jameel
Sher
bujhe hu.e dar-o-diivaar dekhne vaalo
use bhii dekho jo ik umr yaa.n guzaar gayaa
Mushfiq Khwaja
Sher
dekhte hai.n dar-o-diivaar hariifaana mujhe
itnaa be-bas bhii kahaa.n hogaa ko.ii ghar me.n kabhii
Hakeem Manzoor
Sher
dar-o-diivaar pe shakle.n sii banaane aa.ii
phir ye baarish mirii tanhaa.ii churaane aa.ii
Kaif Bhopali
Sher
achchhaa hu.aa ki sab dar-o-diivaar gir pa.De
ab raushnii to hai mire ghar me.n havaa to hai
Saba Akbarabadi
Sher
ajab lahje me.n karte the dar o diivaar baate.n
mire ghar ko bhii shaayad merii aadat ab hu.ii hai
Shariq Kaifi
Sher
hame.n bhii ab dar o diivaar ghar ke yaad aa.e
jo ghar me.n the to hame.n aarzuu-e-sahraa thii
Gulnar Aafreen
Sher
ajab nahii.n dar-o-diivaar jaise ho jaa.e.n
ham aise log jo KHud se kalaam karte hai.n
Tariq Naeem
Sher
Waheed Akhtar
Sher
ajab lahje me.n karte the dar-o-diivaar baate.n
mire ghar ko bhii shaayad merii aadat ab hu.ii hai
Shariq Kaifi
Sher
jab aa.iine dar-o-diivaar par nikal aa.e.n
to shahr-e-zaat me.n rahnaa bhii ik qayaamat hai
Saeed Naqvi
Sher
Salim Saleem
Sher
dar-o-diivaar pe parchhaa.iyaa.n aatii thii.n nazar
baat karne ko bhii tarsii huu.n sahar hone tak
Maryam Gazala
Sher
tum jo aa.e ho to shakl-e-dar-o-diivaar hai aur
kitnii ra.ngiin mirii shaam hu.ii jaatii hai
Nihal Sevharvi
Sher
Iftikhar Arif
Sher
Mustafa Shahab
Sher
dar-o-diivaar bhii ghar ke bahut maayuus the ham se
so ham bhii raat is jaagiir se baahar nikal aa.e