SEARCH RESULTS
Showing search results for "दिल-ए-सर-ए-रह-गुज़र"
Sher MATCHES FOR "दिल-ए-सर-ए-रह-गुज़र"
Sher
mai.n ek sham-e-sar-e-rah-guzaar huu.n 'ajmal'
na jaane kis liye mujh ko bujhaanaa chaahtaa hai
Naseem Ajmal
Sher
Iqbal Kausar
Sher
halqa-e-dil se na niklo ki sar-e-khuucha-e-KHaak
aish jitne hai.n isii kunj-e-kam-aasaar me.n hai.n
Arshad Abdul Hamid
Sher
Jaun Eliya
Sher
aap jis rah-guzar-e-dil se kabhii guzre the
us pe taa-umr kisii ko bhii guzarne na diyaa
Azad Gulati
Sher
kii hai sargoshii sar-e-shaam mire dil ne phir
is liye ham ne lapeTaa nahii.n bistar apnaa
Khan Rizwan
Sher
sar-e-mahfil mai.n kyuu.n KHaamosh rah kar
sabhii logo.n ke tevar dekhtaa huu.n
Abhishek Kumar Amber
Sher
yuu.n sar-e-raah mulaaqaat hu.ii hai aksar
us ne dekhaa bhii nahii.n ham ne pukaaraa bhii nahii.n
Iqbal Azeem
Sher
Figar Unnavi
Sher
zindagii TuuT ke bikhrii hai sar-e-raah abhii
haadisa kahiye ise yaa ki tamaashaa kahiye
Daood Mohsin
Sher
masjid kii sar-e-raah binaa Daal na zaahid
is rok se hone ke nahii.n kuu-e-butaa.n band
Mubarak Azimabadi
Sher
Anjum Irfani
Sher
kha.Daa hu.aa huu.n sar-e-raah muntazir kab se
ki ko.ii guzre to Gam kaa ye bojh uThvaa de
Abdul Hafiz Naeemi
Sher
Ganesh Bihari Tarz
Sher
ik ta.aaruf to zaruurii hai sar-e-raah-e-junuu.n
dasht vaale na.e barbaad ko kab jaante hai.n
Aziz Nabeel
Sher
kis ne rokaa hai sar-e-raah-e-mohabbat tum ko
tumhe.n nafrat hai to nafrat se tum aa.o jaa.o
Rafi Raza
Sher
ham sar-e-raah-e-vafaa us ko sadaa kyaa dete
jaane vaale ne palaT kar hame.n dekhaa bhii na thaa