SEARCH RESULTS
Showing search results for "दुनिया-ए-मुसीबत"
Sher MATCHES FOR "दुनिया-ए-मुसीबत"
Sher
ahl-e-duniyaa baavle hai.n baavlo.n kii tuu na sun
nii.nd u.Daataa ho jo afsaana us afsaana se bhaag
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
Aale Ahmad Suroor
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
kaTaa thaa roz-e-musiibat KHudaa KHudaa kar ke
ye raat aa.ii ki sar pe mire azaab aayaa
Mardan Ali Khan Rana
Sher
duniyaa-e-haadsaat hai ik dardnaak giit
duniyaa-e-haadsaat se ghabraa ke pii gayaa
Saghar Siddiqui
Sher
duniyaa-e-tasavvur ham aabaad nahii.n karte
yaad aate ho tum KHud hii ham yaad nahii.n karte
Fana Nizami Kanpuri
Sher
duniyaa-e-husn-o-ishq me.n kis kaa zuhuur thaa
har aa.nkh barq-paash thii har zarra tuur thaa
Fani Badayuni
Sher
jaan ye sarkashii-e-jism tire bas kii nahii.n
merii aaGosh me.n aa laa ye musiibat mujhe de
Farhat Ehsas
Sher
kamaal-e-taalib-duu.n-e-duu.n hai piir-e-haram
KHudaa ke ghar me.n hai lekin KHudaa se baahar hai
Imdad Ali Bahr
Sher
is faisle pe luT ga.ii duniyaa-e-e.atibaar
saabit hu.aa gunaah gunahgaar ke baGair
Shaukat Pardesi
Sher
tiraa visaal ba.Dii chiiz hai magar ai dost
visaal ko mirii duniyaa-e-aarzuu na banaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
har baat hai 'KHaalid' kii zamaane se niraalii
baashinda hai shaayad kisii duniyaa-e-digar kaa
Abdul Aziz Khalid
Sher
hai mudda.aa-e-ishq hii duniyaa-e-mudda.aa
ye mudda.aa na ho to ko.ii mudda.aa na ho
Hafeez Jalandhari
Sher
saarii duniyaa ye samajhtii hai ki saudaa.ii hai
ab miraa hosh me.n aanaa tirii rusvaa.ii hai
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Sher
hamaare haal pe ab chho.D de hame.n duniyaa
ye baar baar hame.n kyuu.n bataanaa pa.Dtaa hai
Bharat Bhushan Pant
Sher
KHairaat me.n de aayaa huu.n jiitii hu.ii baazii
duniyaa ye samajhtii hai ki mai.n haar gayaa huu.n
Ishaq Virdag
Sher
is saliiqe se mujhe qatl kiyaa hai us ne
ab bhii duniyaa ye samajhtii hai ki zinda huu.n mai.n