SEARCH RESULTS
Showing search results for "दो-रंगी"
Sher MATCHES FOR "दो-रंगी"
Sher
hai lutf hasiino.n kii do-ra.ngii kaa 'amaanat'
do chaar gulaabii ho.n to do chaar basantii
Amanat Lakhnavi
Sher
laa.ii hai kahaa.n mujh ko tabii.at kii do-ra.ngii
duniyaa kaa talabgaar bhii duniyaa se KHafaa bhii
Midhat-ul-Akhtar
Sher
KHizaa.n kaa bhes banaa kar bahaar ne maaraa
mujhe do-ra.ngii-e-lail-o-nahaar ne maaraa
Arzoo Lakhnavi
Sher
jo manzilo.n ke nishaanaat de rahii hai.n tumhe.n
hamaarii guu.nj bhii shaamil hai in sadaa.o.n me.n
Asim Tanha
Sher
ye kyaa KHalish hai ki lau de rahii hai jazbo.n ko
na jaane kaun saa sho.ala mere sharaar me.n hai
Khalida Uzma
Sher
ik mohabbat kii ye tasviir hai do ra.ngo.n me.n
shauq sab meraa hai aur saarii hayaa us kii hai
Javed Akhtar
Sher
Wamiq Jaunpuri
Sher
mai.n ne qubuul kar liyaa chup chaap vo gulaab
jo shaaKH de rahii thii tirii or se mujhe
Charagh Sharma
Sher
ai zabt ek tho.Dii sii baaqii thii aabruu
rone ne raat-din ke miTaa dii rahii-sahii
Meer Tahir Ali Tahir Farrukhabadi
Sher
pahle hii apnii kaun thii vaa.n qadr-o-manzilat
par shab kii minnato.n ne Dubo dii rahii sahii
Qayem Chaandpuri
Sher
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
saaqii ga.ii bahaar rahii dil me.n ye havas
tuu minnato.n se jaam de aur mai.n kahuu.n ki bas
Mohammad Rafi Sauda
Sher
diivaar o dar ne ra.ngo.n se daaman chhu.Daa liyaa
yak-ra.ngi-e-sukuut se kyuu.n ghar niDhaal hai
Mahender Kumar Sani
Sher
baadshaahat do jahaa.n kii bhii jo hove mujh ko
tere kuuche kii gadaa.ii se na kho de mujh ko
Mohammad Rafi Sauda
Sher
un ras bharii aa.nkho.n me.n hayaa khel rahii hai
do zahr ke pyaalo.n me.n qazaa khel rahii hai
Akhtar Shirani
Sher
rahte hai.n mujh me.n ek nahii.n do mizaaj-daa.n
shaa.ir kaa rang aur sahaafii kaa aur hai