SEARCH RESULTS
Showing search results for "नग़्मा-ए-अल्लाह-हू"
Sher MATCHES FOR "नग़्मा-ए-अल्लाह-हू"
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
jab mai.n kahtaa huu.n ki yaa allaah meraa haal dekh
hukm hotaa hai ki apnaa naama-e-aamaal dekh
Akbar Allahabadi
Sher
ye mere ishq kii majbuuriyaa.n ma.aaz-allaah
tumhaaraa raaz tumhii.n se chhupaa rahaa huu.n mai.n
Asrarul Haq Majaz
Sher
tum chaa.ndnii ho phuul ho naGma ho sher ho
allaah-re husn-e-zauq mire intiKHaab kaa
Andaleeb Shadani
Sher
saamne maa.n ke jo hotaa huu.n to allaah allaah
mujh ko mahsuus ye hotaa hai ki bachcha huu.n abhii
Mahfuzur Rahman Adil
Sher
har naGma-e-pur-dard har ik saaz se pahle
ha.ngaama bapaa hotaa hai aaGaaz se pahle
Afzal Allahabadi
Sher
har ek ahd ne likkhaa hai apnaa naama-e-shauq
kisii ne KHuu.n se likhaa hai kisii ne aa.nsuu se
Khurshid Talab
Sher
suntii hai roz naGma-e-zanjiir-e-aashiqaa.n
vo zulf bhii hai silsila-e-ahl-e-chisht me.n
Muneer Shikohabadi
Sher
har-chand ki aasii huu.n pa ummat me.n huu.n us kii
jis kaa hai qadam arsh-e-mua.allaa se bhii baalaa
Insha Allah Khan Insha
Sher
chhe.Daa hai ek naGma-e-shiirii.n bhii kuu-ba-kuu
dil ne hilaal-e-iid kii taa.iid ke liye
Afroz Rizvi
Sher
kuucha tiraa nashe kii ye shiddat jahaa.n se laag
allaah hii nibaahe miyaa.n aaj ghar talak
Qayem Chaandpuri
Sher
Ranjoor Azimabadi
Sher
ham apnii nekii samajhte to hai.n tujhe lekin
shumaar naama-e-a.amaal me.n nahii.n karte
Azhar Faragh
Sher
musta.id huu.n tire zulfo.n kii siyaahii le kar
safha-e-naama-e-aamaal kuu.n kaalaa karne
Siraj Aurangabadi
Sher
ek ha.ngaame pe mauquuf hai ghar kii raunaq
nauha-e-Gam hii sahii naGma-e-shaadii na sahii
Mirza Ghalib
Sher
ham hai.n to na rakkhe.nge itnaa tujhe afsurda
chal naGma-e-'naatiq' sun sahraa-e-junuu.n nai laa