SEARCH RESULTS
Showing search results for "नाम-ओ-निशाँ"
Sher MATCHES FOR "नाम-ओ-निशाँ"
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
ajnabii jaan ke kyaa naam-o-nishaa.n puuchhte ho
bhaa.ii ham bhii usii bastii ke nikaale hu.e hai.n
Irfan Siddiqi
Sher
farsh taa arsh ko.ii naam-o-nishaa.n mil na sakaa
mai.n jise Dhuu.nDh rahaa thaa mire andar niklaa
Bekal Utsahi
Sher
ban jaa.e.n merii tarz-e-fanaa kii kahaaniyaa.n
aisaa miTaa ki saahib-e-naam-o-nishaa.n rahuu.n
Muztar Khairabadi
Sher
sailaab-e-zindagii ke sahaare ba.Dhe chalo
saahil pe rahne vaalo.n kaa naam-o-nishaa.n nahii.n
Baqar Mehdi
Sher
jo harf-e-haq kii himaayat me.n ho vo gum-naamii
hazaar vaz.a ke naam-o-nishaa.n se achchhii hai
Iftikhar Arif
Sher
Khalilur Rahman Azmi
Sher
jab tirii KHaak me.n hijrat hai to is shahr se jaa
ab tiraa naan-o-namak naam-o-nishaa.n uThtaa hai
Moid Rasheedi
Sher
kyaa puuchhte ho naam-o-nishaan-e-musaafiraa.n
hindostaa.n me.n aa.e hai.n hindostaan ke the
Jaun Eliya
Sher
dekho na zaat paat na naam-o-nasab 'shifaa'
par dost jab banaa.o to kirdaar dekh kar
Shifa Kajgavnwi
Sher
tum miraa naam-o-nasab puuchh rahe ho sab se
ishq ho jaa.e to shajara nahii.n dekhaa jaataa
Aadil Rahi
Sher
suuraj se us kaa naam-o-nasab puuchhtaa thaa mai.n
utraa nahii.n hai raat kaa nashsha abhii talak
Bharat Bhushan Pant
Sher
kahaa.n ke naam o nasab ilm kyaa faziilat kyaa
jahaan-e-rizq me.n tauqiir-e-ahl-e-haajat kyaa
Iftikhar Arif
Sher
chhe.D maashuuq se kiije to zaraa tham tham kar
roz ke naama o paiGaam bure hote hai.n
Dagh Dehlvi
Sher
raat din naama-o-paiGaam kahaa.n tak doge
saaf kah diijiye milnaa hame.n manzuur nahii.n
Hasrat Mohani
Sher
yahii bahut the mujhe naan o aab o sham.a o gul
safar-nazhaad thaa asbaab muKHtasar rakkhaa