SEARCH RESULTS
Showing search results for "निगाहें"
Sher MATCHES FOR "निगाहें"
Sher
dil kii bisaat kyaa thii nigaah-e-jamaal me.n
ik aa.iina thaa TuuT gayaa dekh-bhaal me.n
Seemab Akbarabadi
Sher
Nida Fazli
Sher
merii nigaah-e-shauq bhii kuchh kam nahii.n magar
phir bhii tiraa shabaab tiraa hii shabaab hai
Jigar Moradabadi
Sher
dekhii hai.n ba.De Gaur se mai.n ne vo nigaahe.n
aa.nkho.n me.n muravvat kaa kahii.n naam nahii.n hai
Jaleel Manikpuri
Sher
Hasrat Mohani
Sher
nigaah-e-shauq agar dil kii tarjumaa.n ho jaa.e
to zarra zarra mohabbat kaa raaz-daa.n ho jaa.e
Haya Lakhnavi
Sher
rusvaa agar na karnaa thaa aalam me.n yuu.n mujhe
aisii nigaah-e-naaz se dekhaa thaa kyuu.n mujhe
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
Sher
nigaah-e-naaz kii pahlii sii barhamii bhii ga.ii
mai.n dostii ko hii rotaa thaa dushmanii bhii ga.ii
Mael Lakhnavi
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
kisii Gariib ko zaKHmii kare.n ki qatl kare.n
nigaah-e-naaz pe jurmaane tho.Dii hote hai.n
Anwar Shuoor
Sher
gunaaho.n se hame.n raGbat na thii magar yaa rab
tirii nigaah-e-karam ko bhii mu.nh dikhaanaa thaa
Naresh Kumar Shad
Sher
bharii duniyaa me.n faqat mujh se nigaahe.n na churaa
ishq par bas na chalegaa tirii daanaa.ii kaa
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
adaa adaa tirii mauj-e-sharaab ho ke rahii
nigaah-e-mast se duniyaa KHaraab ho ke rahii
Jaleel Manikpuri
Sher
hai ye taqdiir kii KHuubii ki nigaah-e-mushtaaq
pardaa ban jaa.e agar parda-nashii.n tak pahu.nche