SEARCH RESULTS
Showing search results for "बद-दुआ"
Sher MATCHES FOR "बद-दुआ"
Sher
Saleem Kausar
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
ba-du.aa apne liye kii to bahut thii mai.n ne
haa.n magar raah me.n haa.il jo du.aa thii terii
Zia Zameer
Sher
labo.n pe us ke kabhii bad-du'aa nahii.n hotii
bas ek maa.n hai jo mujh se KHafaa nahii.n hotii
Munawwar Rana
Sher
takmiil-e-aarzuu se bhii hotaa hai Gam kabhii
aisii du.aa na maa.ng jise bad-du.aa kahe.n
Abu Mohammad Sahar
Sher
adaavato.n me.n jo KHalq-e-KHudaa lagii hu.ii hai
mohabbato.n ko ko.ii bad-du.aa lagii hu.ii hai
Faisal Ajmi
Sher
jiinaa azaab kyuu.n hai ye kyaa ho gayaa mujhe
kis shaKHs kii lagii hai bhalaa bad-du.aa mujhe
Salman Akhtar
Sher
dushman-e-jaa.n hii sahii dost samajhtaa huu.n use
bad-du.aa jis kii mujhe ban ke du.aa lagtii hai
Murtaza Barlas
Sher
bahut dilo.n ko sataayaa hai tuu ne ai zaalim
mujhe ye Dar hai ko.ii shaKHs bad-du.aa na kare
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Manmohan Talkh
Sher
ek aurat se vafaa karne kaa ye tohfa milaa
jaane kitnii aurato.n kii bad-du.aa.e.n saath hai.n
Bashir Badr
Sher
ajiib baat hai mai.n jab bhii kuchh udaas hu.aa
diyaa sahaaraa hariifo.n kii bad-du.aa.o.n ne
Salam Machhli shahri
Sher
hatheliyo.n kii du.aa phuul ban ke aa.ii ho
kabhii to rang mire haath kaa hinaa.ii ho
Parveen Shakir
Sher
ka.ii jhamelo.n me.n uljhii sii bad-maza chaa.e
udaas mez pe daftar ke kaaGzaat kaa dukh
Saima Aftab
Sher
dukh kaTe zahmat kaTe kaT jaa.e bad-halii sabhii
vaqt kaaTe naa kaTe to kyaa kare.n kis se kahe.n