SEARCH RESULTS
Showing search results for "मनाना"
Sher MATCHES FOR "मनाना"
Sher
barbaadiyo.n kaa sog manaanaa fuzuul thaa
barbaadiyo.n kaa jashn manaataa chalaa gayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
bichha.Dte vaqt anaa darmiyaan thii varna
manaanaa dono.n ne ik duusre ko chaahaa thaa
Ateeq Anzar
Sher
jaane kis rang se ruuThegii tabii.at us kii
jaane kis Dha.ng se ab us ko manaanaa hogaa
Anwar Masood
Sher
ik baat bhalaa puuchhe.n kis tarah manaa.oge
jaise ko.ii ruuThaa hai aur tum ko manaanaa hai
Asar Lakhnavi
Sher
mai.n aaj sog manaanaa sikhaane vaalaa huu.n
idhar ko aa.e.n jinhe.n mahv-e-yaas honaa hai
Rahul Jha
Sher
maanaa ki terii diid ke qaabil nahii.n huu.n mai.n
tuu meraa shauq dekh miraa intizaar dekh
Allama Iqbal
Sher
ham ne maanaa ki taGaaful na karoge lekin
KHaak ho jaa.e.nge ham tum ko KHabar hote tak
Mirza Ghalib
Sher
maa.n kii du.aa na baap kii shafqat kaa saayaa hai
aaj apne saath apnaa janam din manaayaa hai
Anjum Saleemi
Sher
Ahmad Salman
Sher
maanaa ki is zamii.n ko na gulzaar kar sake
kuchh KHaar kam to kar ga.e guzre jidhar se ham
Sahir Ludhianvi
Sher
Iftikhar Arif
Sher
ye samajh ke maanaa hai sach tumhaarii baato.n ko
itne KHuub-suurat lab jhuuT kaise bole.nge