SEARCH RESULTS
Showing search results for "मसाफ़त"
Sher MATCHES FOR "मसाफ़त"
Sher
Farhat Nadeem Humayun
Sher
be-naam masaafat hii muqaddar hai to kyaa Gam
manzil kaa ta.ayyun kabhii hotaa hai safar se
Parveen Shakir
Sher
ham se ba.Dhii masaafat-e-dasht-e-vafaa ki ham
KHud hii bhaTak ga.e jo kabhii raasta milaa
Zehra Nigaah
Sher
Zafar Iqbal
Sher
jab talak aazaad the har ik masaafat thii vabaal
jab pa.Dii zanjiir pairo.n me.n safar achchhe lage
Asad Badayuni
Sher
apne hii saa.e se har gaam laraz jaataa huu.n
mujh se tai hii nahii.n hotii hai masaafat merii
Sarfaraz Khalid
Sher
KHatm hotaa hii nahii.n silsila tanhaa.ii kaa
jaane kis darja masaafat me.n hai Dhaalii ga.ii shab
Arshad Jamal Sarim
Sher
ye saal tuul-e-masaafat se chuur chuur gayaa
ye ek saal to guzraa hai ik sadii kii tarah
Asrar Zaidi
Sher
zaKHm ye vasl ke marham se bhii shaayad na bhare
hijr me.n aisii milii ab ke masaafat ham ko
Amjad Islam Amjad
Sher
Hasan Abbas Raza
Sher
tum merii masaafat ke liye aaKHirii had ho
ab tum se pare raahguzar ko.ii nahii.n hai
Khurram Khaleeq
Sher
ishq ik hikaayat hai sarfarosh duniyaa kii
hijr ik masaafat hai be-nigaar sahraa kii
Zaheer Kashmiri
Sher
phir tuu ne diyaa hai nayaa faasla mujhe
sar par abhii to pichhlii masaafat kii dhuul hai
Unknown
Sher
raah-e-talab kii laakh masaafat giraa.n sahii
duniyaa ko mai.n jahaa.n bhii milaa taaza-dam milaa
Wahid Premi
Sher
gum hu.aa jaataa hai ko.ii manzilo.n kii gard me.n
zindagii bhar kii masaafat raa.egaa.n hone ko hai
Ata ul Haq Qasmi
Sher
tum jahaa.n apnii masaafat ke nishaa.n chho.D ga.e
vo guzargaah mirii zaat kaa viiraana thaa