SEARCH RESULTS
Showing search results for "महरम"
Sher MATCHES FOR "महरम"
Sher
kisii sayyaad kii pa.D jaa.e na chi.Diyaa pe nazar
aap sarkaa.e.n na mahram se dupaTTaa apnaa
Aagha Akbarabadi
Sher
'ishq ab bhii hai vahii mahram-e-be-gaana-numaa
husn yuu.n laakh chhupe laakh numaayaa.n ho jaa.e
Firaq Gorakhpuri
Sher
chehra tamaam surKH hai mahram ke rang se
a.ngiyaa kaa paan dekh ke mu.nh laal ho gayaa
Muneer Shikohabadi
Sher
hayaat-e-KHizr de yaarab mire tahammul ko
shab-e-firaaq agar muKHtasar nahii.n na sahii
Mahram Lakhnavi
Sher
Hairat Allahabadi
Sher
ra.anaa.ii-e-bahaar pe the sab farefta
afsos ko.ii mahram-e-raaz-e-KHizaa.n na thaa
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
na sirf dair-o-haram balki cha.Dh ke daar pe bhii
tire pukaarne vaale tujhe pukaar ga.e
Mahram Lakhnavi
Sher
jahaa.n pahu.nch ke tumhe.n bhuulnaa munaasib thaa
rah-e-hayaat me.n aise bhii kuchh maqaam aa.e
Mahram Lakhnavi
Sher
kisii kii mahram-e-aab-e-ravaa.n kii yaad aa.ii
habaab ke jo baraabar kabhii habaab aayaa
Haidar Ali Aatish
Sher
shaayad isii kaa naam jumuud-e-hayaat hai
ahl-e-hunar ko fursat-e-kasb-e-hunar nahii.n
Mahram Lakhnavi
Sher
na lagii mujh ko jab us shoKH-e-trahdaar kii ge.nd
us ne mahram ko sambhaal aur hii tayyaar kii ge.nd
Insha Allah Khan Insha
Sher
ab bhii jo log sar-e-daar nazar aate hai.n
kuchh vahii mahram-e-asraar nazar aate hai.n
Nisar Itavi
Sher
Shah Naseer
Sher
vus.at-e-mashrab-e-rindaa.n kaa nahii.n hai mahram
zaahid-e-saada hame.n be-sar-o-saamaa.n samjhaa
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
kaafir huu.n jo mahram pe bhii haath us ke lagaa ho
mash.huur Galat mahram-e-asraar hu.e ham
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
zabaa.n se sher kii taariif ho nahii.n saktii
ki ek zarre se ab tak hai aql naa-mahram
Izhaar Malihabadi
Sher
band mahram ke vo khulvaate hai.n ham se beshtar
aaj-kal sone kii chi.Diyaa hai hamaare haath me.n
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
Shehla Kaleem
Sher
KHumaar-e-diida-e-anjum sharaab-e-lail-o-nahaar
hikaayat-e-na-shuniida nigaar-e-naa-mahram