SEARCH RESULTS
Showing search results for "महव-ए-रुमूज़-ए-साज़"
Sher MATCHES FOR "महव-ए-रुमूज़-ए-साज़"
Sher
is qadar mahv na ho.n aap KHud-aaraa.ii me.n
daaG lag jaa.e na aa.iina-e-yaktaa.ii me.n
Kalb-e-husain Nadir
Sher
rumuuz-e-ishq-o-mohabbat se aashnaa huu.n mai.n
kisii ko Gam-zada dekhaa to ro diyaa huu.n mai.n
Matin Niazi
Sher
mahv-e-diid-e-chaman-e-shauq hai phir diida-e-shauq
gul-e-shaadaab vahii bulbul-e-shaidaa hai vahii
Ghulam Bhik Nairang
Sher
Sahir Ludhianvi
Sher
har ek shaKHs yahaa.n mahv-e-KHvaab lagtaa hai
kisii ne ham ko jagaayaa nahii.n bahut din se
Azhar Iqbal
Sher
na hogaa ko.ii mujh saa mahv-e-tasavvur
jise dekhtaa huu.n samajhtaa huu.n tuu hai
Goya Faqir Mohammad
Sher
ek muddat mai.n KHamoshii se rahaa mahv-e-kalaam
tab kahii.n jaa ke ye lafzo.n me.n ma.aanii aa.e
Zakariya Shaz
Sher
usii taraf hai zamaana bhii aaj mahv-e-safar
'faraaG' mai.n ne jidhar se guzarnaa chaahaa thaa
Faragh Rohvi
Sher
magar mai.n zaat ke sahraa me.n mahv-e-raqs rahaa
mujhe bhii koh-e-nidaa kii taraf bulaayaa gayaa
Adnan Mohsin
Sher
is qadar mahv-e-tasavvur huu.n ki shak hotaa hai
aa.iine me.n mirii suurat hai ki suurat terii
Jaleel Manikpuri
Sher
baiThaa hu.aa huu.n lag ke dariiche se mahv-e-yaas
ye shaam aaj mere baraabar udaas hai
Akash Arsh
Sher
asl me.n ham the tumhaare saath mahv-e-guftuguu
jab KHud apne aap se ham guftuguu karte rahe
Jagan Nath Azad
Sher
mahv-e-liqaa jo hai.n malakuutii-KHisaal hai.n
bedaar ho ke bhii nazar aate hai.n KHvaab me.n
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
ye kyaa ki ek taal pe duniyaa hai mahv-e-raqs
is gardish-e-kuhan ko na.e sub.h-o-shaam de
Ahmar Nadeem
Sher
kaun hai jo itne sannaaTe me.n hai mahv-e-safar
dasht-e-shab me.n ye Gubaar-e-maah-o-anjum kis liye