SEARCH RESULTS
Showing search results for "रखता"
Sher MATCHES FOR "रखता"
Sher
gul ho mahtaab ho aa.iina ho KHurshiid ho miir
apnaa mahbuub vahii hai jo adaa rakhtaa ho
Meer Taqi Meer
Sher
aziiz-tar mujhe rakhtaa hai vo rag-e-jaa.n se
ye baat sach hai miraa baap kam nahii.n maa.n se
Tahir Shaheer
Sher
ghaas me.n jazb hu.e ho.nge zamii.n ke aa.nsuu
paa.nv rakhtaa huu.n to halkii sii namii lagtii hai
Saleem Ahmed
Sher
jo pa.Dhaa hai use jiinaa hii nahii.n hai mumkin
zindagii ko mai.n kitaabo.n se alag rakhtaa huu.n
Zafar Sahbai
Sher
Bashir Mehtaab
Sher
mujh me.n hai yahii aib ki auro.n kii tarah mai.n
chehre pe kabhii duusraa chehraa nahii.n rakhtaa
Faragh Rohvi
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
Unknown
Sher
Galat the vaade magar mai.n yaqiin rakhtaa thaa
vo shaKHs lahja bahut dil-nashiin rakhtaa thaa
Mohsin Bhopali
Sher
Anwar Dehlvi
Sher
Ajmal Siddiqui
Sher
tamannaa jo na rakhtaa ho jhukaa.e vo nazar kis se
use shaadii o Gam kis kaa use suud o zarar kis se
Tasveer Dehlvi
Sher
lamha itnii gunjaa.ish rakhtaa hai KHud me.n
aap us me.n aane se pahle jaa sakte hai.n
Sarfraz Zahid
Sher
baap kaa hai faKHr vo beTaa ki rakhtaa ho kamaal
dekh aa.iine ko farzand-e-rashiid-e-sa.ng hai
Meer Mohammadi Bedar
Sher
phalo.n ke saath kahii.n gho.nsle na gir jaa.e.n
KHayaal rakhtaa huu.n patthar uchhaaltaa hu.aa mai.n
Shahid Zaki
Sher
saadgii dekh ki bose kii tama.a rakhtaa huu.n
jin labo.n se ki mayassar nahii.n dushnaam mujhe