SEARCH RESULTS
Showing search results for "लकीर"
Sher MATCHES FOR "लकीर"
Sher
tumhaare ghar ke sabhii raasto.n ko kaaT ga.ii
hamaare haath me.n ko.ii lakiir aisii thii
Bashir Badr
Sher
lakiir khii.nch ke baiThii hai tishnagii mirii
bas ek zid hai ki dariyaa yahii.n pe aa.egaa
Alam Khursheed
Sher
tumhaare naam ke niiche khi.nchii hu.ii hai lakiir
kitaab-e-ziist hai saada is indiraaj ke ba.ad
Aanis Moin
Sher
ko.ii dimaaG se ko.ii shariir se haaraa
me.n apne haath kii andhii lakiir se haaraa
Obaidur Rahman
Sher
Najmus Saqib
Sher
KHayaal-e-zulf-e-dotaa me.n 'nasiir' piiTaa kar
gayaa hai saa.np nikal tuu lakiir piiTaa kar
Shah Naseer
Sher
kis liye KHud ko samajhtaa hai vo patthar kii lakiir
us kaa inkaar bhii iqraar me.n aa saktaa hai
Azeem Haider Syed
Sher
sar diije raah-e-ishq me.n par mu.nh na mo.Diye
patthar kii sii lakiir hai ye koh-kan kii baat
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
Musavvir Sabzwari
Sher
khii.nch lii thii ik lakiir-e-naa-rasaa KHud darmiyaa.n
faasla-dar-faasla-dar-faasla honaa hii thaa
Zulfiqar Naqvi
Sher
lakiir khii.nch ke mujh pe vo phir mujhe dekhe
nigaar-o-naqsh me.n chehra hai huu-ba-huu meraa
Asif Saqib
Sher
Bashir Badr
Sher
tuu badaltaa hai to be-saaKHta merii aa.nkhe.n
apne haatho.n kii lakiiro.n se ulajh jaatii hai.n
Parveen Shakir
Sher
sunaa hai ab bhii mire haath kii lakiiro.n me.n
najuumiyo.n ko muqaddar dikhaa.ii detaa hai
Ameer Qazalbash
Sher
jism kii chaah lakiiro.n se adaa kartaa hai
KHaak samjhegaa musavvir tirii a.ng.Daa.ii ko
Waseem Barelvi
Sher
lakiire.n khii.nchte rahne se ban ga.ii tasviir
ko.ii bhii kaam ho, be-kaar tho.Dii hotaa hai
Khalid Moin
Sher
apne haatho.n kii lakiiro.n me.n sajaa le mujh ko
mai.n huu.n teraa tuu nasiib apnaa banaa le mujh ko