SEARCH RESULTS
Showing search results for "लौस-ए-तलब"
Sher MATCHES FOR "लौस-ए-तलब"
Sher
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
KHiraaj maa.ng rahii hai vo shaah-baanu-e-shahr
so ham bhii hadiya-e-dast-e-talab guzaarte hai.n
Irfan Siddiqi
Sher
Muneer Shikohabadi
Sher
vo tanz ko bhii husn-e-talab jaan KHush hu.e
ulTaa pa.Dhaa gayaa, miraa paiGaam aur thaa
Nomaan Shauque
Sher
merii duniyaa isii duniyaa me.n kahii.n rahtii hai
varna ye duniyaa kahaa.n husn-e-talab thii meraa
Amir Hamza Saqib
Sher
raah-e-talab kii laakh masaafat giraa.n sahii
duniyaa ko mai.n jahaa.n bhii milaa taaza-dam milaa
Wahid Premi
Sher
khii.nche hai mujhe dast-e-junuu.n dasht-e-talab me.n
daaman jo bachaa.e hai.n garebaan ga.e hai.n
Sajjad Baqar Rizvi
Sher
ham ne jo 'tamannaa.ii' bayaabaan-e-talab me.n
ik umr guzaarii hai to do-chaar baras aur
Aziz Tamannai
Sher
KHush huu.n ki miraa husn-e-talab kaam to aayaa
KHaalii hii sahii merii taraf jaam to aayaa
Shakeel Badayuni
Sher
rah-e-talab me.n kise aarzuu-e-manzil hai
shu.uur ho to safar KHud safar kaa haasil hai
Ghulam Rabbani Taban
Sher
be-ta.alluq tire aage se guzar jaataa hai
ye bhii ik husn-e-talab hai tire diivaane kaa
Shakeel Badayuni
Sher
darbaano.n tak ke chehre ra.uunat se masKH hai.n
dast-e-talab liye hu.e phir bhii kha.De hai.n log
Ejaz Warsi
Sher
ye jazba-e-talab to miraa mar na jaa.egaa
tum bhii agar miloge to jii bhar na jaa.egaa
Hayat Lakhnavi
Sher
raah-e-talab me.n daam-o-diram chho.D jaa.e.nge
likh lo hamaare sher ba.De kaam aa.e.nge
Junaid Akhtar
Sher
ai aql saath rah ki pa.Degaa tujhii se kaam
raah-e-talab kii manzil-e-aaKHir junuu.n nahii.n
Nisar Itavi
Sher
kamii kuchh apne hii zauq-e-talab me.n hai varna
du'aa kaa harf kabhii be-asar nahii.n jaataa
Haneef Najmi
Sher
sabho.n se miltaa huu.n begaana-e-talab ho kar
na dostii se Garaz hai na dushmanii se mujhe
 
 