SEARCH RESULTS
Showing search results for "विसाल"
Sher MATCHES FOR "विसाल"
Sher
ye na thii hamaarii qismat ki visaal-e-yaar hotaa
agar aur jiite rahte yahii intizaar hotaa
Mirza Ghalib
Sher
nahii.n nigaah me.n manzil to justujuu hii sahii
nahii.n visaal mayassar to aarzuu hii sahii
Faiz Ahmad Faiz
Sher
shab-e-visaal hai gul kar do in charaaGo.n ko
KHushii kii bazm me.n kyaa kaam jalne vaalo.n kaa
Dagh Dehlvi
Sher
ye aarzuu bhii ba.Dii chiiz hai magar hamdam
visaal-e-yaar faqat aarzuu kii baat nahii.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
zaraa visaal ke baa'd aa.ina to dekh ai dost
tire jamaal kii doshiizgii nikhar aa.ii
Firaq Gorakhpuri
Sher
kahaa.n ke ishq-o-mohabbat kidhar ke hijr o visaal
abhii to log taraste hai.n zindagii ke liye
Zehra Nigaah
Sher
hazaar ruKH tire milne ke hai.n na milne me.n
kise firaaq kahuu.n aur kise visaal kahuu.n
Ravish Siddiqi
Sher
'faraaz' ishq kii duniyaa to KHuub-suurat thii
ye kis ne fitna-e-hijr-o-visaal rakkhaa hai
Ahmad Faraz
Sher
Jalaluddin Akbar
Sher
ik raat dil-jalo.n ko ye aish-e-visaal de
phir chaahe aasmaan jahannam me.n Daal de
Jalal Lakhnavi
Sher
mai.n ek se kisii mausam me.n rah nahii.n saktaa
kabhii visaal kabhii hijr se rihaa.ii de
Obaidullah Aleem
Sher
tire visaal kii kab aarzuu rahii dil ko
ki ham ne chaahaa tujhe shauq-e-be-sabab ke liye
Azeem Quraishi
Sher
yahii fasaana rahaa hai junuu.n ke sahraa me.n
kabhii firaaq ke qisse kabhii visaal kii baat
Indira Varma
Sher
mai.n vahm huu.n ki haqiiqat ye haal dekhne ko
giraft hotaa huu.n apnaa visaal dekhne ko
Krishna Kumar Toor
Sher
Farhat Ehsas
Sher
bahut dino.n me.n kahii.n hijr-e-maah-o-saal ke ba.ad
rukaa hu.aa hai zamaana tire visaal ke ba.ad
Saleem Kausar
Sher
Farhat Ehsas
Sher
tiraa visaal ba.Dii chiiz hai magar ai dost
visaal ko mirii duniyaa-e-aarzuu na banaa