SEARCH RESULTS
Showing search results for "शराफ़त"
Sher MATCHES FOR "शराफ़त"
Sher
merii Gurbat ko sharaafat kaa abhii naam na de
vaqt badlaa to tirii raa.e badal jaa.egii
Nida Fazli
Sher
pahle ye shukr ki ham hadd-e-adab se na ba.Dhe
ab ye shikva ki sharaafat ne kahii.n kaa na rakhaa
Rais Amrohvi
Sher
tum sharaafat kahaa.n baazaar me.n le aa.e ho
ye vo sikka hai jo barso.n se nahii.n chaltaa hai
Moin Shadab
Sher
mai.n jo aayaa Gair se hans kar kahaa us ne 'jalaal'
KHatm hai jis par sharaafat vo kamiina aa gayaa
Jalal Lakhnavi
Sher
aKHlaaq o sharaafat kaa a.ndheraa hai vo ghar me.n
jalte nahii.n ma.asuum gunaaho.n ke diye bhii
Fuzail Jafri
Sher
kis kis ko bataa.uu.n ki mai.n buzdil nahii.n 'raaGib'
is daur me.n mafhuum-e-sharaafat hii alag hai
Iftikhar Raghib
Sher
Zubair Rizvi
Sher
sabza-zaaro.n kii sharaafat se na khelo qat.an
tum havaa ho to KHalaa.o.n se lipaT kar dekho
Rahi Fidai
Sher
mai.n apne zahr se vaaqif huu.n vo samajhtaa nahii.n
hai mere kiisa-e-sad-kaam me.n sharaafat bhii
Abul Hasanat Haqqi
Sher
sharaafato.n kii yahaa.n ko.ii ahmiyat hii nahii.n
kisii kaa kuchh na bigaa.Do to kaun Dartaa hai
Waseem Barelvi
Sher
ab ke saavan me.n sharaarat ye mire saath hu.ii
meraa ghar chho.D ke kul shahr me.n barsaat hu.ii
Gopaldas Neeraj
Sher
ye zindagii kuchh bhii ho magar apne liye to
kuchh bhii nahii.n bachcho.n kii sharaarat ke alaava
Abbas Tabish
Sher
band kar ke mirii aa.nkhe.n vo sharaarat se ha.nse
buujhe jaane kaa mai.n har roz tamaashaa dekhuu.n