SEARCH RESULTS
Showing search results for "शुग़्ल-ए-मय-परस्ती"
Sher MATCHES FOR "शुग़्ल-ए-मय-परस्ती"
Sher
ham se khul jaa.o ba-vaqt-e-mai-parastii ek din
varna ham chhe.De.nge rakh kar uzr-e-mastii ek din
Mirza Ghalib
Sher
Natiq Gulavthi
Sher
adab-e-baada-parastii na gayaa mastii me.n
suurat-e-kaaba tavaaf-e-dar-e-mai-KHaana hai
Naseem Dehlvi
Sher
Natiq Gulavthi
Sher
saaqiyaa ab ke ba.De zoro.n pe hai.n ham mai-parast
chal ke vaa.iz ko sar-e-mimbar lataa.Daa chaahiye
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
sajda-gaah-e-barhaman aur shaiKH hai.n dair-o-haram
mai-parasto.n ke liye buniyaad mai-KHaane hu.e
Hasrat Azimabadi
Sher
KHudaa gavaah hai mai.n shaGl-e-but-parastii me.n
sivaa.e ishq kisii kaam se nahii.n vaaqif
Shah Naseer
Sher
shaGl-e-ulfat ko jo ahbaab buraa kahte hai.n
kuchh samajh me.n nahii.n aataa ki ye kyaa kahte hai.n
Meer Mehdi Majrooh
Sher
mujh ko ka.aba me.n bhii hamesha shaiKH
yaad-e-ayyaam-e-but-parastii thii
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
but-parastii me.n bhii bhuulii na mujhe yaad-e-KHudaa
haath me.n sub.ha gale me.n mire zunnaar rahaa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
lutf tab amard-parastii kaa hai baaG-e-KHuld me.n
paas baiThe jabki Gilmaa.n aur kha.Dii ho huur duur
Munawar Khan Ghafil
Sher
umr to apnii hu.ii sab but-parastii me.n basar
naam ko duniyaa me.n hai.n ab saahib-e-islaam ham
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
Noor Taqi Noor
Sher
but-parastii me.n na hogaa ko.ii mujh saa badnaam
jhe.nptaa huu.n jo kahii.n zikr-e-KHudaa hotaa hai
Mirza Hadi Ruswa
Sher
zaahido puujaa tumhaarii KHuub hogii hashr me.n
but banaa degii tumhe.n ye haq-parastii ek din
Muneer Shikohabadi
Sher
ai tan-parast jaama-e-suurat kasiif hai
bazm-e-huzuur-e-dost me.n kap.De badal ke chal