SEARCH RESULTS
Showing search results for "सज़ा-ए-मौत"
Sher MATCHES FOR "सज़ा-ए-मौत"
Sher
sazaa-e-maut pe fariyaad se to behtar hai
gale lagaa ke kahuu.n daar ko mubaarak baad
Afzal Khan
Sher
tirii vafaa me.n milii aarzuu-e-maut mujhe
jo maut mil ga.ii hotii to ko.ii baat bhii thii
Khalilur Rahman Azmi
Sher
fikr-e-fardaa Gam-e-imroz Gam-e-maut-o-hayaat
aadmii kyaa hu.aa majmuu.a-e-aalaam hu.aa
Mehr Nizami Merathi
Sher
KHataa ye thii ki mai.n aasaaniyo.n kaa taalib thaa
sazaa ye hai ki miraa tiisha-e-hunar bhii gayaa
Aslam Mahmood
Sher
Wasif Banarsi
Sher
Sada Ambalvi
Sher
ye kaa.enaat abhii naa-tamaam hai shaayad
ki aa rahii hai damaadam sadaa-e-kun-fayakuu.n
Allama Iqbal
Sher
bosa-e-sabza-e-KHat de ke gunahgaar kiyaa
tuu ne kaa.nTo.n me.n mujhe ai gul-e-ra.anaa khii.nchaa
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
maut kii god me.n jab tak nahii.n tuu so jaataa
tuu 'sadaa' chain se hargiz nahii.n sone vaalaa
Sada Ambalvi
Sher
muskuraane kii sazaa kitnii ka.Dii hotii hai
puuchh aa.o ye kisii khiltii kalii se pahle
Parveen Sajal
Sher
sadaa-e-vaqt kii gar baaz-gasht san paa.o
mire KHayaal ko tum shaa.iraana kah denaa
Mohsin Bhopali
Sher
mujhe kisii ne sunaa hii nahii.n tavajjoh se
mai.n bad-zabaan sadaa-e-karaKHt huu.n shaayad
Aqeel Shadab
Sher
musaafiraana rahaa is saraa-e-hastii me.n
chalaa phiraa mai.n zamaane me.n rahguzar kii tarah
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
sadaa-e-dil ko kahii.n baaryaab honaa thaa
mire savaal kaa kuchh to javaab honaa thaa
Siraj Alam Zakhmi
Sher
sadaa-e-qulqul-e-miinaa mujhe nahii.n aatii
mire savaal kaa shiishe me.n kuchh javaab nahii.n
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
bahut barbaad hai.n lekin sadaa-e-inqalaab aa.e
vahii.n se vo pukaar uThegaa jo zarra jahaa.n hogaa