SEARCH RESULTS
Showing search results for "सर-दर्द"
Sher MATCHES FOR "सर-दर्द"
Sher
kaun saa dard utar aayaa hai tahriiro.n me.n
saare alfaaz janaaze kii tarah lagte hai.n
Ahtamam Sadiq
Sher
achchhaa hu.aa ki sab dar-o-diivaar gir pa.De
ab raushnii to hai mire ghar me.n havaa to hai
Saba Akbarabadi
Sher
Maroof Dehlvi
Sher
dard-e-sar hai terii sab pand-o-nasiihat naaseh
chho.D de mujh ko KHudaa par na kar ab sar KHaalii
Mardan Ali Khan Rana
Sher
Shad Azimabadi
Sher
guzraa jahaa.n se mai.n to kahaa ha.ns ke yaar ne
qissa gayaa fasaad gayaa dard-e-sar gayaa
Unknown
Sher
nii.nd to dard ke bistar pe bhii aa saktii hai
un kii aaGosh me.n sar ho ye zaruurii to nahii.n
Khamosh Ghazipuri
Sher
vo dard uThaa dil me.n ki jis dard kaa darmaa.n
gar ho na pas-e-lafz to miltaa hai sar-e-daar
Shahnawaz Farooqi
Sher
phir sar-e-sub.h kisii dard ke dar vaa karne
dhaan ke khet se ik mauj-e-havaa aa.ii hai
Zafar Iqbal
Sher
dard kartaa hai tap-e-ishq kii shiddat se miraa
sar judaa siina judaa qalb judaa shaana judaa
Meer Hasan
Sher
palko.n ke sitaare bhii u.Daa le ga.ii 'anvar'
vo dard kii aa.ndhii kii sar-e-shaam chalii thii
Anwar Masood
Sher
paagal kiyaa hai ishq ne aadhaa jo rah gayaa
ab aadhe sar ke dard kaa puuraa mariiz huu.n
Haseebul Hasan
Sher
'zeb' mujhe Dar lagne lagaa hai apne KHvaabo.n se
jaagte jaagte dard rahaa kartaa hai mire sar me.n
Zeb Ghauri
Sher
na merii aa.nkh na qalb-o-jigar me.n rahtaa hai
vo dard ban ke mire aadhe sar me.n rahtaa hai