SEARCH RESULTS
Showing search results for "हालात"
Sher MATCHES FOR "हालात"
Sher
kabhii KHud pe kabhii haalaat pe ronaa aayaa
baat niklii to har ik baat pe ronaa aayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
Qateel Shifai
Sher
duniyaa me.n vahii shaKHs hai taaziim ke qaabil
jis shaKHs ne haalaat kaa ruKH mo.D diyaa ho
Unknown
Sher
mai.n badalte hu.e haalaat me.n Dhal jaataa huu.n
dekhne vaale adaakaar samajhte hai.n mujhe
Shahid Zaki
Sher
Mahshar Inayati
Sher
dil ko har lamha bachaate rahe jazbaat se ham
itne majbuur rahe hai.n kabhii haalaat se ham
Jan Nisar Akhtar
Sher
rone vaalo.n se kaho un kaa bhii ronaa ro le.n
jin ko majbuuri-e-haalaat ne rone na diyaa
Sudarshan Faakir
Sher
mere haalaat ne yuu.n kar diyaa patthar mujh ko
dekhne vaalo.n ne dekhaa bhii na chhuu kar mujh ko
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
na terii yaad na duniyaa kaa Gam na apnaa KHayaal
ajiib suurat-e-haalaat ho ga.ii pyaare
Habib Jalib
Sher
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
ham bhii ik shaam bahut uljhe hu.e the KHud me.n
ek shaam us ko bhii haalaat ne mohlat nahii.n dii
Iftikhar Arif
Sher
Malikzaada Manzoor Ahmad
Sher
raat ke lamhaat KHuunii daastaa.n likhte rahe
sub.h ke aKHbaar me.n haalaat behtar ho ga.e