SEARCH RESULTS
Showing search results for "होशियार"
Sher MATCHES FOR "होशियार"
Sher
luT ga.e ek hii a.ng.Daa.ii me.n aisaa bhii hu.aa
umr-bhar phirte rahe ban ke jo hoshiyaar bahut
Qais Rampuri
Sher
be-KHud bhii hai.n hoshiyaar bhii hai.n dekhne vaale
in mast nigaaho.n kii adaa aur hii kuchh hai
Abul Kalam Azad
Sher
mai.n chup kha.Daa thaa ta'alluq me.n iKHtisaar jo thaa
usii ne baat banaa.ii vo hoshiyaar jo thaa
Rajinder Manchanda Bani
Sher
haa.n aasmaan apnii bulandii se hoshiyaar
ab sar uThaa rahe hai.n kisii aastaa.n se ham
Josh Malihabadi
Sher
Gash khaa ke 'daaG' yaar ke qadmo.n pe gir pa.Daa
behosh ne bhii kaam kiyaa hoshiyaar kaa
Dagh Dehlvi
Sher
mirii KHabar to kisii ko nahii.n magar 'aKHtar'
zamaana apne liye hoshiyaar kaisaa hai
Akhtar Ansari
Sher
Nizam Rampuri
Sher
diivaana huu.n par kaam me.n hoshiyaar huu.n apne
yuusuf kaa KHayaal aayaa jo zindaa.n nazar aayaa
Hatim Ali Mehr
Sher
masto.n pe u.ngliyaa.n na uThaa.o bahaar me.n
dekho to hosh hai bhii kisii hoshiyaar me.n
Unknown
Sher
pas-e-visaal bhii hai masti-e-visaal vahii
bahaar KHatm hu.ii mai.n na hoshiyaar hu.aa
Jaleel Manikpuri
Sher
laa.e jab ghar se to behosh pa.Daa thaa 'aarif'
ho gayaa aan ke hoshiyaar tire kuuche me.n
Zain-ul-Abideen Khan Arif
Sher
qaazii kaa na Dar hai na Gam-e-mohtasib-e-shahr
hoshiyaar na ho ko.ii taGaaful ke baraabar
Hatim Ali Mehr
Sher
mahv-e-safar huu.n KHitta-e-duniyaa ke us taraf
aur KHud ko hoshiyaar nahii.n kar rahaa huu.n mai.n
Muneer Jafri
Sher
mahv-e-safar huu.n KHitta-e-duniyaa ke us taraf
aur KHud ko hoshiyaar nahii.n kar rahaa huu.n mai.n
Muneer Jafri
Sher
hoshiyaarii dil-e-naadaan bahut kartaa hai
ra.nj kam sahtaa hai elaan bahut kartaa hai