SEARCH RESULTS
Showing search results for " ajnabii KHat o KHaal"
Sher MATCHES FOR "ajnabii KHat o KHaal"
Sher
dete nahii.n sujhaa.ii jo duniyaa ke KHatt-o-KHaal
aa.e hai.n tiirgii me.n magar raushnii se ham
Anjum Rumani
Sher
us kii pa.Dii na aa.nkh KHat-o-KHaal par tire
kabk-e-darii to rafta-e-raftaar hii rahaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
vahaa.n zer-e-bahs aate KHat-o-KHaal o KHuu-e-KHuubaa.n
Gam-e-ishq par jo 'anvar' ko.ii seminar hotaa
Anwar Masood
Sher
pop dhamaake me.n ham bhaktii Dhuu.nD rahe hai.n
maiDonaa ke KHatt-o-KHaal me.n miiraa dekhe.n
Ahmad Shanas
Sher
us kii aavaaz me.n the saare KHad-o-KHaal us ke
vo chahaktaa thaa to ha.nste the par-o-baal us ke
Wazir Agha
Sher
hijr insaa.n ke KHad-o-KHaal badal detaa hai
kabhii fursat me.n mujhe dekhne aanaa mire dost
Ashfaq Nasir
Sher
ruup rang miltaa hai KHadd-o-KHaal milte hai.n
aadmii nahii.n miltaa aadmii ke paikar me.n
Khushbir Singh Shaad
Sher
aap agar samjhaa de.n KHaal-o-KHad manzar k
ham apnii hairat kaa naam bataa sakte hai.n
Sarfraz Zahid
Sher
bharpuur nahii.n hai.n kisii chehre ke KHad-o-KHaal
dekhaa nahii.n vo chaa.nd jo puuraa nazar aa.e
Shahzad Ahmad
Sher
har ruKH hai kahii.n apne KHad-o-KHaal se baahar
har lafz hai kuchh apne ma.aanii se ziyaada
Abrar Ahmad
Sher
KHaar-o-KHas jam.a kare naam nasheman rakh de
jis ko manzuur ho gulshan ko bayaabaa.n karnaa
Aasi Merathi
Sher
ye KHadd-o-KHaal ye gesuu ye suurat-e-zebaa
sabhii kaa husn hai apnii jagah magar aa.nkhe.n
Khan Rizwan
Sher
Saleem Kausar
Sher
badle hai.n zamaane ne KHad-o-KHaal tire bhii
ab tujh ko ko.ii dekh ke paagal nahii.n hotaa
Mohammad Mustahsan Jami
Sher
jo saamne thaa us ke KHad-o-KHaal nahii.n yaad
vo yaad rahaa jis ko zaraa dekh liyaa hai
Shahzad Ahmad
Sher
achchhe-bhale jo log KHadd-o-KHaal se lage
lekin vo chaal-Dhaal se kam-zarf the bahut
Raghvendra Dwivedi
Sher
ye aur baat ki bhuulegaa KHadd-o-KHaal magar
vo mujh ko yaad rakhegaa kisii kathaa kii tarah