SEARCH RESULTS
Showing search results for "KHaak-e-KHaam"
Sher MATCHES FOR "KHaak-e-KHaam"
Sher
Faza Ibn e Faizi
Sher
kis tarah kar diyaa dil-e-naazuk ko chuur-chuur
is vaaqi.a kii KHaak hai patthar ko ittilaa.a
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
daulat-e-Gam bhii KHas-o-KHaak-e-zamaan me.n ga.ii
tum ga.e ho to mah o saal kahaa.n Thahre hai.n
Mahmood Ayaz
Sher
ai zulf-e-KHam-ba-KHam tujhe apnaa hii vaasta
hamvaar hone paa.e na umr-e-ravaa.n kii raah
Jafar Tahir
Sher
us kii aavaaz me.n the saare KHad-o-KHaal us ke
vo chahaktaa thaa to ha.nste the par-o-baal us ke
Wazir Agha
Sher
aa.nkho.n ko tamanna hai KHaak-e-dar-e-jaanaa.n kii
KHaak-e-dar-e-har-kuucha iksiir nahii.n hotii
Aish Meeruthi
Sher
dete nahii.n sujhaa.ii jo duniyaa ke KHatt-o-KHaal
aa.e hai.n tiirgii me.n magar raushnii se ham
Anjum Rumani
Sher
hijr insaa.n ke KHad-o-KHaal badal detaa hai
kabhii fursat me.n mujhe dekhne aanaa mire dost
Ashfaq Nasir
Sher
rahne de zikr-e-KHam-e-zulf-e-musalsal ko nadiim
us ke to dhyaan se bhii hotaa hai dil ko uljhaa.o
Dattatriya Kaifi
Sher
ruup rang miltaa hai KHadd-o-KHaal milte hai.n
aadmii nahii.n miltaa aadmii ke paikar me.n
Khushbir Singh Shaad
Sher
aap agar samjhaa de.n KHaal-o-KHad manzar k
ham apnii hairat kaa naam bataa sakte hai.n
Sarfraz Zahid
Sher
bharpuur nahii.n hai.n kisii chehre ke KHad-o-KHaal
dekhaa nahii.n vo chaa.nd jo puuraa nazar aa.e
Shahzad Ahmad
Sher
har ruKH hai kahii.n apne KHad-o-KHaal se baahar
har lafz hai kuchh apne ma.aanii se ziyaada
Abrar Ahmad
Sher
KHaar-o-KHas jam.a kare naam nasheman rakh de
jis ko manzuur ho gulshan ko bayaabaa.n karnaa
Aasi Merathi
Sher
KHaak-e-aaGushta-ba-KHuu.n ko mirii be-qadr na jaan
gul-badan saare ise karte hai.n ubTab apnaa