SEARCH RESULTS
Showing search results for "aamad"
Sher MATCHES FOR "aamad"
Sher
aur bhii dukh hai.n zamaane me.n mohabbat ke sivaa
raahate.n aur bhii hai.n vasl kii raahat ke sivaa
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
dil naa-umiid to nahii.n naakaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam magar shaam hii to hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ik ajab aamad-o-shud hai ki na maazii hai na haal
'jaun' barpaa ka.ii naslo.n kaa safar hai mujh me.n
Jaun Eliya
Sher
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
aamad pe terii itr o charaaG o subuu na ho.n
itnaa bhii buud-o-baash ko saada nahii.n kiyaa
Parveen Shakir
Sher
Ahmad Faraz
Sher
fanaa hii kaa hai baqaa naam duusraa 'anjum'
nafas kii aamad-o-shud maut kaa taraana hai
Mahaveer Parshad Anjum
Sher
nik.hat vahii suruur vahii dil-kashii vahii
aamad ye aap kii hai ki jho.nkaa bahaar kaa
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
Sher
kis sher kii aamad hai ki ran kaa.np rahaa hai
rustam kaa jigar zer-e-kafan kaa.np rahaa hai
Mirza Salaamat Ali Dabeer
Sher
jaa.egii gulshan talak us gul kii aamad kii KHabar
aa.egii bulbul mire ghar me.n mubaarakbaad ko
Sakhi Lakhnvi
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
barse.ngii aaj rahmate.n aamad hai yaar kii
naayaab hai.n ye gha.Diyaa.n tire intizaar kii