SEARCH RESULTS
Showing search results for "aasmaan"
Sher MATCHES FOR "aasmaan"
Sher
us ke chehre kii chamak ke saamne saada lagaa
aasmaa.n pe chaa.nd puuraa thaa magar aadhaa lagaa
Iftikhar Naseem
Sher
kabhii kisii ko mukammal jahaa.n nahii.n miltaa
kahii.n zamiin kahii.n aasmaa.n nahii.n miltaa
Nida Fazli
Sher
aasmaa.n itnii bulandii pe jo itraataa hai
bhuul jaataa hai zamii.n se hii nazar aataa hai
Waseem Barelvi
Sher
vaqt aane de dikhaa de.nge tujhe ai aasmaa.n
ham abhii se kyuu.n bataa.e.n kyaa hamaare dil me.n hai
Bismil Azimabadi
Sher
baatil se dabne vaale ai aasmaa.n nahii.n ham
sau baar kar chukaa hai tuu imtihaa.n hamaaraa
Allama Iqbal
Sher
kabhii to aasmaa.n se chaa.nd utre jaam ho jaa.e
tumhaare naam kii ik KHuub-suurat shaam ho jaa.e
Bashir Badr
Sher
jab mai.n chaluu.n to saaya bhii apnaa na saath de
jab tum chalo zamiin chale aasmaa.n chale
Jaleel Manikpuri
Sher
dekhaa hilaal-e-eid to aayaa teraa KHayaal
vo aasmaa.n kaa chaa.nd hai tuu meraa chaa.nd hai
Unknown
Sher
aaKHir du.aa kare.n bhii to kis mudda.aa ke saath
kaise zamii.n kii baat kahe.n aasmaa.n se ham
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
kyaa kyaa hu.aa hai ham se junuu.n me.n na puuchhiye
uljhe kabhii zamii.n se kabhii aasmaa.n se ham
Asrarul Haq Majaz
Sher
utar bhii aa.o kabhii aasmaa.n ke ziine se
tumhe.n KHudaa ne hamaare liye banaayaa hai
Bashir Badr
Sher
vatan ke jaa.n-nisaar hai.n vatan ke kaam aa.e.nge
ham is zamii.n ko ek roz aasmaa.n banaa.e.nge