SEARCH RESULTS
Showing search results for "aastaana"
Sher MATCHES FOR "aastaana"
Sher
ka.abe ko dil kii ziyaarat ke liye jaataa huu.n
aastaana hai haram mere sanam-KHaane kaa
Fani Badayuni
Sher
bhaa.np hii le.nge ishaara sar-e-mahfil jo kiyaa
taa.Dne vaale qayaamat kii nazar rakhte hai.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
terii mahfil se uThaataa Gair mujh ko kyaa majaal
dekhtaa thaa mai.n ki tuu ne bhii ishaara kar diyaa
Hasrat Mohani
Sher
ko.ii ishaara dilaasaa na ko.ii va.ada magar
jab aa.ii shaam tiraa intizaar karne lage
Waseem Barelvi
Sher
aa.nkho.n se mohabbat ke ishaare nikal aa.e
barsaat ke mausam me.n sitaare nikal aa.e
Mansoor Usmani
Sher
ab sochte hai.n laa.e.nge tujh saa kahaa.n se ham
uThne ko uTh to aa.e tire aastaa.n se ham
Majrooh Sultanpuri
Sher
Saud Usmani
Sher
yuu.n to ab bhii hai vahii ranj vahii mahruumii
vo jo ik terii taraf se thaa ishaaraa na rahaa
Habeeb Ashar Dehlavi
Sher
chand alfaaz ke motii hai.n mire daaman me.n
hai magar terii mohabbat kaa taqaazaa kuchh aur
Amir Usmani
Sher
baaqii hii kyaa rahaa hai tujhe maa.ngne ke baad
bas ik du.aa me.n chhuuT ga.e har du.aa se ham
Amir Usmani
Sher
yuu.n churaa.ii.n us ne aa.nkhe.n saadgii to dekhiye
bazm me.n goyaa mirii jaanib ishaaraa kar diyaa
Fani Badayuni
Sher
mujh se dillii kii nahii.n dil kii kahaanii suniye
shahr to ye bhii ka.ii baar luTaa hai mujh me.n
Mansoor Usmani
Sher
Rafiq Raaz
Sher
kuchh ishaara jo kiyaa ham ne mulaaqaat ke vaqt
Taal kar kahne lage din hai abhii raat ke vaqt
Insha Allah Khan Insha
Sher
Mirza Ghalib
Sher
Mirza Ghalib
Sher
aablo.n kaa shikva kyaa Thokaro.n kaa Gam kaisaa
aadmii mohabbat me.n sab ko bhuul jaataa hai