SEARCH RESULTS
Showing search results for "anjaam-e-soz-e-Gam"
Sher MATCHES FOR "anjaam-e-soz-e-Gam"
Sher
puuchhaa jo mai.n ne yaar se anjaam-e-soz-e-ishq
shoKHii se ik charaaG ko us ne bujhaa diyaa
Unknown
Sher
ab mujh ko gavaaraa nahii.n soz-e-Gam-e-furqat
mai.n tere binaa hijr me.n mar jaa.uu.ngaa ik din
Faisal Qadri Gunnauri
Sher
soz-e-Gam hii se mirii aa.nkh me.n aa.nsuu aa.e
sochtaa huu.n ki ise aag kahuu.n yaa paanii
Josh Malsiani
Sher
soz-e-Gam de ke mujhe us ne ye irshaad kiyaa
jaa tujhe kashmakash-e-dahr se aazaad kiyaa
Josh Malihabadi
Sher
soz-e-Gam se ashk kaa ek ek qatra jal gayaa
aag paanii me.n lagii aisii ki dariyaa jal gayaa
Momin Khan Momin
Sher
ai soz-e-jaa.n-gudaaz abhii mai.n javaan huu.n
ai dard-e-laa-ilaaj ye umr-e-shabaab hai
Akhtar Ansari
Sher
ai soz-e-ishq tuu ne mujhe kyaa banaa diyaa
merii har ek saa.ns munaajaat ho ga.ii
Firaq Gorakhpuri
Sher
ai soz-e-ishq-e-pinhaa.n ab qissa muKHtasar hai
iksiir ho chalaa huu.n ik aa.nch kii kasar hai
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
S A Mehdi
Sher
mirii zindagii kaa mahvar yahii soz-o-saaz-e-hastii
kabhii jazb-e-vaalhaana kabhii zabt-e-aarifaana
Farooq Banspari
Sher
shab-gaziida ko tire is kii KHabar hii kab thii
din jo aa.egaa Gam-e-laa-mutanaahii degaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
ahl-e-imaa.n 'soz' ko kahte hai.n kaafir ho gayaa
aah yaa rab raaz-e-dil in par bhii zaahir ho gayaa
Meer Soz
Sher
Unknown
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
rah-navard-e-bayaabaan-e-Gam sabr kar sabr kar
kaarvaa.n phir mile.nge baham sabr kar sabr kar