SEARCH RESULTS
Showing search results for "baa-na.e"
Sher MATCHES FOR "baa-na.e"
Sher
vo zahr detaa to sab kii nigah me.n aa jaataa
so ye kiyaa ki mujhe vaqt pe davaa.e.n na dii.n
Akhtar Nazmi
Sher
be-naam saa ye dard Thahar kyuu.n nahii.n jaataa
jo biit gayaa hai vo guzar kyuu.n nahii.n jaataa
Nida Fazli
Sher
merii taariif kare yaa mujhe bad-naam kare
jis ne jo baat bhii karnii hai sar-e-aam kare
Maqbool Aamir
Sher
be-naam masaafat hii muqaddar hai to kyaa Gam
manzil kaa ta.ayyun kabhii hotaa hai safar se
Parveen Shakir
Sher
ek be-naam udaasii se bharaa baiThaa huu.n
aaj dil khol ke rone kii zaruurat hai mujhe
Anjum Saleemi
Sher
ko.ii bhii shakl mukammal kitaab ban na sakii
har ek chehra yahaa.n iqtibaas jaisaa hai
Muztar Haidri
Sher
be-naam se ik KHauf se dil kyuu.n hai pareshaa.n
jab tai hai ki kuchh vaqt se pahle nahii.n hogaa
Shahryar
Sher
vahii be-vaj.h udaasii vahii be-naam KHalish
raah-o-rasm-e-dil-e-naakaam se jii Dartaa hai
Javed Kamal Rampuri
Sher
ba-naam-e-ishq ik ehsaan saa abhii tak hai
vo saada-lauh hame.n chaahtaa abhii tak hai
Shahram Sarmadi
Sher
Farhat Ehsas
Sher
gulo.n kii mahfil-e-ra.ngii.n me.n KHaar ban na sake
bahaar aa.ii to ham gulsitaa.n se lauT aa.e
Khatir Ghaznavi
Sher
mile.n kisii se to bad-naam ho.n zamaane me.n
abhii ga.e hai.n vo mujh ko sunaa ke parde me.n
Mirza Mayal Dehlvi
Sher
auro.n ke bal pe bal na kar itnaa na chal nikal
bal hai to bal ke bal pe tuu kuchh apne bal ke chal
Bahadur Shah Zafar
Sher
chaman pe bas na chalaa varna ye chaman vaale
havaa.e.n bechte niilaam ra.ng-o-buu karte
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
aap ne tiir lagaayaa to ko.ii baat na thii
zaKHm mai.n ne jo dikhaayaa to buraa maan ga.e