SEARCH RESULTS
Showing search results for "bajat"
Sher MATCHES FOR "bajat"
Sher
kaisaa ajiib aayaa hai is saal kaa bajaT
murGii kaa jo bajaT hai vahii daal kaa bajaT
Khalid Irfan
Sher
bajaT kii ka.ii saKHtiyaa.n aur bhii hai.n
''abhii ishq ke imtihaa.n aur bhii hai.n''
Sarfaraz Shahid
Sher
biktii hai ab kitaab bhii cassette ke rate pe
kaise banegaa 'Gaalib' o 'iqbaal' kaa bajaT
Khalid Irfan
Sher
bichh.De the jab ye log mahiina thaa june kaa
sohnii banaa rahii thii mahii.nvaal kaa bajaT
Khalid Irfan
Sher
bu.aa ko to dekho na gahnaa na paataa
bajaT haath me.n jaise dhobin kaa khaataa
Syed Zameer Jafri
Sher
T.v kaa ye mazaaq adiibo.n ke saath hai
shaa.er se dugnaa rakh diyaa qavvaal kaa bajaT
Khalid Irfan
Sher
is qadar sarf ilaahii mire KHuun-e-dil kaa
ab mohabbat kaa bajaT fail hu.aa jaataa hai
Machis Lakhnavi
Sher
hai bajaT ghaaTe me.n jurmaane zaruurii hai.n yahaa.n
is liye sarkaar merii luuT kar khaane ko hai
Rauf Raheem
Sher
ham to samjhe the ki ham bhuul ga.e hai.n un ko
kyaa hu.aa aaj ye kis baat pe ronaa aayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
gilaa bhii tujh se bahut hai magar mohabbat bhii
vo baat apnii jagah hai ye baat apnii jagah
Basir Sultan Kazmi
Sher
vafaa kare.nge nibaahe.nge baat maane.nge
tumhe.n bhii yaad hai kuchh ye kalaam kis kaa thaa
Dagh Dehlvi
Sher
ik raat vo gayaa thaa jahaa.n baat rok ke
ab tak rukaa hu.aa huu.n vahii.n raat rok ke
Farhat Ehsas
Sher
vo baat saare fasaane me.n jis kaa zikr na thaa
vo baat un ko bahut naa-gavaar guzrii hai