SEARCH RESULTS
Showing search results for "dahaa.d"
Sher MATCHES FOR "dahaa.d"
Sher
qais jangal me.n akelaa hai mujhe jaane do
KHuub guzregii jo mil baiThe.nge diivaane do
Miyan dad Khan Sayyah
Sher
de hausle kii daad ke ham tere Gam me.n aaj
baiThe hai.n mahfilo.n ko sajaa.e tire baGair
Adeel Zaidi
Sher
aurat ko samajhtaa thaa jo mardo.n kaa khilaunaa
us shaKHs ko daamaad bhii vaisaa hii milaa hai
Tanveer Sipra
Sher
Haidar Ali Aatish
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
daad-o-tahsiin kii bolii nahii.n tafhiim kaa naqd
shart kuchh to mire bikne kii munaasib Thahre
Abdul Ahad Saaz
Sher
ye tamannaa nahii.n ab daad-e-hunar de ko.ii
aa ke mujh ko mire hone kii KHabar de ko.ii
Khalilur Rahman Azmi
Sher
ab to zaraa saa gaa.nv bhii beTii na de use
lagtaa thaa varna chiin kaa daamaad aagara
Nazeer Akbarabadi
Sher
Unknown
Sher
siina dahak rahaa ho to kyaa chup rahe ko.ii
kyuu.n chiiKH chiiKH kar na galaa chhiil le ko.ii
Jaun Eliya
Sher
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
husn hai daad-e-KHudaa ishq hai imdaad-e-KHudaa
Gair kaa daKHl nahii.n baKHt hai apnaa apnaa
Aziz Hyderabadi
Sher
ye bhii nayaa sitam hai hinaa to lagaa.e.n Gair
aur us kii daad chaahe.n vo mujh ko dikhaa ke haath
Nizam Rampuri
Sher
Wajid Ali Shah Akhtar
Sher
naa-karda gunaaho.n kii bhii hasrat kii mile daad
yaa rab agar in karda gunaaho.n kii sazaa hai
Mirza Ghalib
Sher
mere suKHan kii daad bhii us ko hii diijiye
vo jis kii aarzuu mujhe shaa.er banaa ga.ii
Sahba Akhtar
Sher
sunoge haal jo meraa to daad kyaa doge
yahii kahoge ki jhuuTaa hai tuu zamaane kaa