SEARCH RESULTS
Showing search results for "dil"
Sher MATCHES FOR "dil"
Sher
ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
dil naa-umiid to nahii.n naakaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam magar shaam hii to hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ham ko ma.aluum hai jannat kii haqiiqat lekin
dil ke KHush rakhne ko 'Gaalib' ye KHayaal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
Jaleel 'Aali'
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
dil me.n kisii ke raah kiye jaa rahaa huu.n mai.n
kitnaa hasii.n gunaah kiye jaa rahaa huu.n mai.n
Jigar Moradabadi
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
dil ko tirii chaahat pe bharosa bhii bahut hai
aur tujh se bichha.D jaane kaa Dar bhii nahii.n jaataa
Ahmad Faraz
Sher
aa.nkh se duur na ho dil se utar jaa.egaa
vaqt kaa kyaa hai guzartaa hai guzar jaa.egaa
Ahmad Faraz
Sher
aap pahluu me.n jo baiThe.n to sambhal kar baiThe.n
dil-e-betaab ko aadat hai machal jaane kii
Jaleel Manikpuri
Sher
har dha.Dakte patthar ko log dil samajhte hai.n
umre.n biit jaatii hai.n dil ko dil banaane me.n
Bashir Badr
Sher
bas ik jhijak hai yahii haal-e-dil sunaane me.n
ki teraa zikr bhii aa.egaa is fasaane me.n