SEARCH RESULTS
Showing search results for "ek ehsaas"
Sher MATCHES FOR "ek ehsaas"
Sher
log naazuk the aur ehsaas ke viiraane tak
vo guzarte hu.e aa.nkho.n kii jalan se aa.e
Rais Farogh
Sher
fikr o ehsaas ke tapte hu.e manzar tak aa
mere lafzo.n me.n utar kar mire andar tak aa
Sardar Saleem
Sher
kyuu.n mujh ko nazr-e-aatish-e-ehsaas kar diyaa
kyuu.n jaan Daal kar mirii miTTii KHaraab kii
Habeeb Amrohvi
Sher
naalaa.n huu.n mai.n bedaarii-e-ehsaas ke haatho.n
duniyaa mire afkaar kii duniyaa nahii.n hotii
Sahir Ludhianvi
Sher
Akhtar Muzaffarpuri
Sher
ham dozaKH-e-ehsaas me.n jalte hii rahe.nge
ye fikr kaa haasil hai basiirat kii sazaa hai
Syed Ahmed Shameem
Sher
ham to us pastii-e-ehsaas pe jiite hai.n jahaa.n
ye bhii ma.aluum nahii.n jiit hai kyaa maat hai kyaa
Asghar Abid
Sher
lazzat-e-dard milii ishrat-e-ehsaas milii
kaun kahtaa hai ham us bazm se naakaam aa.e
Ali Jawad Zaidi
Sher
ye KHud-e-farebi-e-ehsaas-e-aarzuu to nahii.n
tirii talaash kahii.n apnii justujuu to nahii.n
Ummeed Fazli
Sher
ba-naam-e-ishq ik ehsaan saa abhii tak hai
vo saada-lauh hame.n chaahtaa abhii tak hai
Shahram Sarmadi
Sher
ik raat vo gayaa thaa jahaa.n baat rok ke
ab tak rukaa hu.aa huu.n vahii.n raat rok ke
Farhat Ehsas
Sher
apne hone kaa kuchh ehsaas na hone se hu.aa
KHud se milnaa miraa ik shaKHs ke khone se hu.aa
Musavvir Sabzwari
Sher
aadatan mai.n kisii ehsaas ke piichhe lapkaa
daf.atan ek Gazal dasht-e-suKHan se niklii