SEARCH RESULTS
Showing search results for "faasle"
Sher MATCHES FOR "faasle"
Sher
Bashir Badr
Sher
faasle aise bhii ho.nge ye kabhii sochaa na thaa
saamne baiThaa thaa mere aur vo meraa na thaa
Adeem Hashmi
Sher
mohabbat kii to ko.ii had, ko.ii sarhad nahii.n hotii
hamaare darmiyaa.n ye faasle, kaise nikal aa.e
Khalid Moin
Sher
Bashir Badr
Sher
duniyaa to chaahtii hai yuu.nhii faasle rahe.n
duniyaa ke mashvaro.n pe na jaa us galii me.n chal
Habib Jalib
Sher
jo mujh me.n tujh me.n chalaa aa rahaa hai barso.n se
kahii.n hayaat isii faasle kaa naam na ho
Waseem Barelvi
Sher
fasl-e-bahaar aa.ii piyo suufiyo sharaab
bas ho chukii namaaz musallaa uThaa.iye
Haidar Ali Aatish
Sher
bulbul ko baaGbaa.n se na sayyaad se gila
qismat me.n qaid likkhii thii fasl-e-bahaar me.n
Bahadur Shah Zafar
Sher
qariib aa.o to shaayad samajh me.n aa jaa.e
ki faasle to Galat-fahmiyaa.n ba.Dhaate hai.n
Muzaffar Razmi
Sher
use KHabar hai ki anjaam-e-vasl kyaa hogaa
vo qurbato.n kii tapish faasle me.n rakhtii hai
Khalid Yusuf
Sher
zehn o dil ke faasle the ham jinhe.n sahte rahe
ek hii ghar me.n bahut se ajnabii rahte rahe
Iffat Zarrin
Sher
ik dandanaatii rail sii umre.n guzar ga.ii.n
do pTriyo.n ke beach vahii faasle rahe
Mohammad Asadullah
Sher
ik musalsal dau.D me.n hai.n manzile.n aur faasle
paa.nv to apnii jagah hai.n raasta apnii jagah
Iftikhar Imam Siddiqi
Sher
kaash itnaa hii samajh lete ye ahl-e-kaarvaa.n
faasle ba.Dh jaate hai.n sahmii hu.ii raftaar se
Saifi Azmi
Sher
in duuriyo.n ne aur ba.Dhaa dii hai.n qurbate.n
sab faasle vabaa kii tavaalat se miT ga.e