SEARCH RESULTS
Showing search results for "firaaq"
Sher MATCHES FOR "firaaq"
Sher
ek muddat se tirii yaad bhii aa.ii na hame.n
aur ham bhuul ga.e ho.n tujhe aisaa bhii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
bahut pahle se un qadmo.n kii aahaT jaan lete hai.n
tujhe ai zindagii ham duur se pahchaan lete hai.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
Garaz ki kaaT diye zindagii ke din ai dost
vo terii yaad me.n ho.n yaa tujhe bhulaane me.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
na ko.ii va.ada na ko.ii yaqii.n na ko.ii umiid
magar hame.n to tiraa intizaar karnaa thaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
aa.e the ha.nste khelte mai-KHaane me.n 'firaaq'
jab pii chuke sharaab to sanjiida ho ga.e
Firaq Gorakhpuri
Sher
vo aa rahe hai.n vo aate hai.n aa rahe ho.nge
shab-e-firaaq ye kah kar guzaar dii ham ne
Faiz Ahmad Faiz
Sher
kam se kam maut se aisii mujhe ummiid nahii.n
zindagii tuu ne to dhoke pe diyaa hai dhoka
Firaq Gorakhpuri
Sher
bahut dino.n me.n mohabbat ko ye hu.aa ma.aluum
jo tere hijr me.n guzrii vo raat raat hu.ii
Firaq Gorakhpuri
Sher
sunte hai.n ishq naam ke guzre hai.n ik buzurg
ham log bhii faqiir usii silsile ke hai.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
ik umr kaT ga.ii hai tire intizaar me.n
aise bhii hai.n ki kaT na sakii jin se ek raat