SEARCH RESULTS
Showing search results for "gaa.duu.n"
Sher MATCHES FOR "gaa.duu.n"
Sher
gharo.n pe naam the naamo.n ke saath ohde the
bahut talaash kiyaa ko.ii aadmii na milaa
Bashir Badr
Sher
jis khet se dahqaa.n ko mayassar nahii.n rozii
us khet ke har KHosha-e-gandum ko jalaa do
Allama Iqbal
Sher
ye kah ke dil ne mire hausle ba.Dhaa.e hai.n
Gamo.n kii dhuup ke aage KHushii ke saa.e hai.n
Mahirul Qadri
Sher
aur kyaa is se ziyaada ko.ii narmii bartuu.n
dil ke zaKHmo.n ko chhu.aa hai tire gaalo.n kii tarah
Jan Nisar Akhtar
Sher
ye kah rahii hai ishaaro.n me.n gardish-e-garduu.n
ki jald ham ko.ii saKHt inqalaab dekhe.nge
Ahmaq Phaphoondvi
Sher
raushnii baa.nTtaa huu.n sarhado.n ke paar bhii mai.n
ham-vatan is liye Gaddaar samajhte hai.n mujhe
Shahid Zaki
Sher
Chakbast Braj Narayan
Sher
thakan se chuur hai saaraa vajuud ab meraa
mai.n bojh itne Gamo.n kaa to Dho nahii.n saktaa
Babar Rehman Shah
Sher
surKHii shafaq kii zard ho gaalo.n ke saamne
paanii bhare ghaTaa tire baalo.n ke saamne
Muneer Shikohabadi
Sher
sabaq milaa hai ye meraaj-e-mustafaa se mujhe
ki aalam-e-bashariiyat kii zad me.n hai garduu.n
Allama Iqbal
Sher
Gamo.n se bair thaa so ham ne KHud-kushii kar lii
shajar giraa ke parindo.n se intiqaam liyaa
Balmohan panday
Sher
raat terii yaado.n ne dil ko is tarah chhe.Daa
jaise ko.ii chuTkii le narm narm gaalo.n me.n