SEARCH RESULTS
Showing search results for "ghamand"
Sher MATCHES FOR "ghamand"
Sher
vo jis ghamanD se bichh.Daa gila to is kaa hai
ki saarii baat mohabbat me.n rakh-rakhaav kii thii
Ahmad Faraz
Sher
aa.nkhe.n jo uThaa.e to mohabbat kaa gumaa.n ho
nazro.n ko jhukaa.e to shikaayat sii lage hai
Jan Nisar Akhtar
Sher
ek suuraj thaa ki taaro.n ke gharaane se uThaa
aa.nkh hairaan hai kyaa shaKHs zamaane se uThaa
Parveen Shakir
Sher
use gumaa.n hai ki merii u.Daan kuchh kam hai
mujhe yaqii.n hai ki ye aasmaan kuchh kam hai
Nafas Ambalvi
Sher
jo chup rahaa to vo samjhegaa bad-gumaan mujhe
buraa bhalaa hii sahii kuchh to bol aa.uu.n mai.n
Iftikhar Imam Siddiqi
Sher
inhe.n to KHaak me.n milnaa hii thaa ki mere the
ye ashk kaun se uu.nche gharaane vaale the
Waseem Barelvi
Sher
Nazeer Banarasi
Sher
tiraa yaqiin huu.n mai.n kab se is gumaan me.n thaa
mai.n zindagii ke ba.De saKHt imtihaan me.n thaa
Zafar Ghauri
Sher
Obaidullah Aleem
Sher
miraa gumaan hai shaayad ye vaaqi.a ho jaa.e
ki shaam mujh me.n Dhale aur sab fanaa ho jaa.e
Asim Bakhshi
Sher
Gamo.n se bair thaa so ham ne KHud-kushii kar lii
shajar giraa ke parindo.n se intiqaam liyaa
Balmohan panday
Sher
Mirza Ghalib
Sher
bad-gumaa.n ho ke mil ai dost jo milnaa hai tujhe
ye jhijhakte hu.e milnaa ko.ii milnaa bhii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
bad-gumaa.n aap hai.n kyuu.n aap se shikva hai kise
jo shikaayat hai hame.n gardish-e-ayyaam se hai
Hasrat Mohani
Sher
har shaKHs ko gumaan ki manzil nahii.n hai duur
ye to bataa.iye ki pata kis ke paas hai