SEARCH RESULTS
Showing search results for "guzaarish"
Sher MATCHES FOR "guzaarish"
Sher
jaate ho KHudaa-haafiz haa.n itnii guzaarish hai
jab yaad ham aa jaa.e.n milne kii du.aa karnaa
Jaleel Manikpuri
Sher
dosto tum se guzaarish hai yahaa.n mat aa.o
is ba.De shahr me.n tanhaa.ii bhii mar jaatii hai
Javed Nasir
Sher
bin maa.nge mil rahaa ho to KHvaahish fuzuul hai
suuraj se raushnii kii guzaarish fuzuul hai
Shahid Zaki
Sher
tum kabhii ek nazar merii taraf bhii dekho
ik tavaqqo hii to hai ko.ii guzaarish to nahii.n
Fazil Jamili
Sher
ek suura-faatiha aur chaar qul pa.Dh diijiye
jo thaa pyaaraa us kii barsii hai guzaarish dosto
Sabir Aafaque
Sher
hamaarii KHair hai lekin bas ik guzaarish hai
hamaare baad kisii se bhii yuu.n nahii.n karnaa
Haseebul Hasan
Sher
kuchh is tarah se guzaarii hai zindagii jaise
tamaam umr kisii duusre ke ghar me.n rahaa
Ahmad Faraz
Sher
ai sham.a tujh pe raat ye bhaarii hai jis tarah
mai.n ne tamaam umr guzaarii hai is tarah
Natiq Lakhnavi
Sher
Irfan Siddiqi
Sher
KHvaabo.n par iKHtiyaar na yaado.n pe zor hai
kab zindagii guzaarii hai apne hisaab me.n
Fatima Hasan
Sher
Gazal ke parde me.n be-parda KHvaahishe.n likhnaa
na aayaa ham ko barahana guzaarishe.n likhnaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
umr sab zauq-e-tamaashaa me.n guzaarii lekin
aaj tak ye na khulaa kis ke talabgaar hai.n ham