SEARCH RESULTS
Showing search results for "haath haathon men naa de baat hii kartaa jaae"
Sher MATCHES FOR "haath haathon men naa de baat hii kartaa jaae"
Sher
mai-kashii ke bhii kuchh aadaab baratnaa siikho
haath me.n apne agar jaam liyaa hai tum ne
Aale Ahmad Suroor
Sher
Anwar Jalalpuri
Sher
Ibn e Insha
Sher
kahii.n aisaa na ho kam-baKHt me.n jaan aa jaa.e
is liye haath me.n lete mirii tasviir nahii.n
Mubarak Azimabadi
Sher
do-chaar baar ham jo kabhii ha.ns-ha.nsaa liye
saare jahaa.n ne haath me.n patthar uThaa liye
Kunwar Bechain
Sher
jaam-e-sharaab ab to mire saamne na rakh
aa.nkho.n me.n nuur haath me.n jumbish kahaa.n hai ab
Akhtar Shahjahanpuri
Sher
na jaane ham se gila kyuu.n hai tishna-kaamo.n ko
hamaare haath me.n mai thii na daur-e-saaGar thaa
Zaheer Siddiqui
Sher
mai.n ne asraar aziyyat me.n hii khulte dekhe
baat chhoTii hai magar sab ko bataa dii jaa.e
Jyoti Azad Khatri
Sher
kyaa dekhtaa hai haath miraa chho.D de tabiib
yaa.n jaan hii badan me.n nahii.n nabz kyaa chale
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
'shaaz' KHud me.n hii ga.nvaa.e hu.e KHud ko rakhnaa
haath jab tak na ko.ii apnii nishaanii aa.e
Zakariya Shaz
Sher
na jaane kaun sii Gurbat hai merii aa.nkho.n me.n
ki us badan me.n KHazaane talaash kartaa huu.n
Dr. Yasin Aatir
Sher
haath milvaate ho tarsaa.e gilaurii ke liye
kaf-e-afsos na mal jaa.e kahii.n paa.nv me.n
Muneer Shikohabadi
Sher
haath KHaalii na the jab ghar se ravaana hu.aa mai.n
sab ne jholii me.n mirii apnii zaruurat rakh dii
Aziz Nabeel
Sher
qatl karnaa hai na.e KHvaab kaa so Dartaa huu.n
kaa.np jaa.e.n na mire haath ye KHuu.n karte hu.e
Tripurari
Sher
kisii ne haath ba.Dhaayaa hai dostii ke liye
phir ek baar KHudaa e'tibaar de mujh ko
Nazeer Baaqri
Sher
Badr Muneer
Sher
milnaa hai agar KHud se to phir der na karnaa
kho jaane kaa Dar hotaa hai taaKHiir me.n likh de