SEARCH RESULTS
Showing search results for "halve"
Sher MATCHES FOR "halve"
Sher
bas ik jhijak hai yahii haal-e-dil sunaane me.n
ki teraa zikr bhii aa.egaa is fasaane me.n
Kaifi Azmi
Sher
ham labo.n se kah na paa.e un se haal-e-dil kabhii
aur vo samjhe nahii.n ye KHaamushii kyaa chiiz hai
Nida Fazli
Sher
bikhrii hu.ii vo zulf ishaaro.n me.n kah ga.ii
mai.n bhii shariik huu.n tire haal-e-tabaah me.n
Jaleel Manikpuri
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
aasmaano.n me.n u.Daa karte hai.n phuule phuule
halke logo.n ke ba.De kaam havaa kartii hai
Mohammad Aazam
Sher
Ameer Khusrau
Sher
be-niyaazii had se guzrii banda-parvar kab talak
ham kahe.nge haal-e-dil aur aap farmaave.nge kyaa
Mirza Ghalib
Sher
Moin Ahsan Jazbi
Sher
ko.ii milaa hii nahii.n jis se haal-e-dil kahte
milaa to rah ga.e lafzo.n ke intiKHaab me.n ham
Aleena Itrat
Sher
aap jaate to hai.n us bazm me.n 'shiblii' lekin
haal-e-dil dekhiye iz.haar na hone paa.e
Shibli Nomani
Sher
maanuus ho chalaa thaa tasallii se haal-e-dil
phir tuu ne yaad aa ke ba-dastuur kar diyaa
Hasrat Mohani
Sher
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
haal-e-dil yaar ko mahfil me.n sunaa.e.n kyuu.n-kar
mudda.ii kaan idhar aur udhar rakhte hai.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
puuchhaa agar kisii ne miraa aa ke haal-e-dil
be-iKHtiyaar aah labo.n se nikal ga.ii