SEARCH RESULTS
Showing search results for "harf"
Sher MATCHES FOR "harf"
Sher
kha.Daa huu.n aaj bhii roTii ke chaar harf liye
savaal ye hai kitaabo.n ne kyaa diyaa mujh ko
Nazeer Baaqri
Sher
Asrarul Haq Majaz
Sher
hai du.aa yaad magar harf-e-du.aa yaad nahii.n
mere naGmaat ko andaaz-e-navaa yaad nahii.n
Saghar Siddiqui
Sher
aurat ho tum to tum pe munaasib hai chup raho
ye bol KHaandaan kii izzat pe harf hai
Sayyada Arshia Haq
Sher
vo harf-e-raaz ki mujh ko sikhaa gayaa hai junuu.n
KHudaa mujhe nafas-e-jabra.iil de to kahuu.n
Allama Iqbal
Sher
aur sab bhuul ga.e harf-e-sadaaqat likhnaa
rah gayaa kaam hamaaraa hii baGaavat likhnaa
Habib Jalib
Sher
hai harf harf zaKHm kii suurat khilaa hu.aa
fursat mile to tum miraa diivaan dekhnaa
Zubair Farooq
Sher
Saleem Ahmed
Sher
yaa-rab zamaana mujh ko miTaataa hai kis liye
lauh-e-jahaa.n pe harf-e-mukarrar nahii.n huu.n mai.n
Mirza Ghalib
Sher
kis vaaste likkhaa hai hathelii pe miraa naam
mai.n harf-e-Galat huu.n to miTaa kyuu.n nahii.n dete
Hasrat Jaipuri
Sher
harf ko lafz na kar lafz ko iz.haar na de
ko.ii tasviir mukammal na banaa us ke liye
Mohammad Ahmad Ramz
Sher
ham KHud bhii hu.e naadim jab harf-e-du.aa niklaa
samjhe the jise patthar vo shaKHs KHudaa niklaa
Hilal Fareed
Sher
miT chale merii umiido.n kii tarah harf magar
aaj tak tere KHato.n se tirii KHushbuu na ga.ii
Akhtar Shirani
Sher
Shaheen Abbas
Sher
dulhan kii meh.ndii jaisii hai urdu zabaa.n kii shakl
KHushbuu bikhertaa hai ibaarat kaa harf harf
Sandeep Gupte
Sher
Saleem Kausar
Sher
vahdat me.n terii harf du.ii kaa na aa sake
aa.iina kyaa majaal tujhe mu.nh dikhaa sake